Gair-Muslim Ki Mayyat Me Sharik Hona



Sawal:Agar koi gair muslim pados me rahta ho aur woh mar jaae to kya uske janaze me shirkat ki jaa sakti hai?
Jawab:Kisi maslihat ya zarurat se gair muslimo se milna julna,uske dukh dard me shareek hona aur insaaniyat ke naate uski madad karna,Khaas kar jab padosi ho to ye jaaiz hai.Lekin unke mazhabi maamlaat me shirkat karna jaaiz nahi hai.Is liye agar koi kaafir bimaar ho gaya ya uske yahan kisi ka inteqaal ho gaya to use tasalli dena aur iyaadat karne ki gunjaaish hai.Magar mayyat aur janaaze ko le kar chalna aur unke dusre mazhabi rasm-o-riwaj me shareek hona hargiz jaaiz nahi hai.Quran sharif me hai “Aur un me se kisi ki mayyat par kabhi namaz nahi padhna aur nahi uski qabar par khade hona,Beshak un logo ne Allah aur uske Rasool ka inkaar kiya aur fisq hi me mar gaye”. (Surah Tauba,Aayat No.84)
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Gair-Muslim Ko Qurbani Ka Gosht Dena Kaisa Hai? Gair-Muslim Ke Yahan Iftaar Karna Kaisa Hai? Musalman Ka Ghoomne Ke Liye Mandir Jaana Kaisa Hai?



Dawat-E-Quran