Sawal:Gair-Muslim ko qurbani ka gosht dena kaisa hai?
Jawab:Hadees sharif me hai ki ek sahaabi ne arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Kya ham apni qurbani ka gosht apne gair-muslim padosi ko khilaaye? Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Qurbani me se mushrekin ko kuchh bhi nahi khilaao.[Sho’bul iman,Hadees No.9113]
Is hadees sharif se maloom hua ki qurbani ka gosht gair-muslim ko nahi dena chaahiye.
Sadrus-Shariya mufti Amjad Ali alaihir-rahmah likhte hain ki: Qurbani ka gosht kaafir ko nahi de kyunki yahan ke kuffaar harbi hain.[Bahar-e-Shari’at,Jild 3,Hissa 15,Page No.347]
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Gair-Muslim Ke Yahan Iftaar Karna Kaisa Hai? Gair-Muslim Ki Mayyat Me Sharik Hona Kaisa Hai? Musalman Ka Ghoomne Ke Liye Mandir Jaana Kaisa Hai?