Ghar Me Buzurgo Ki Tasweer Rakhna



Sawal:Kya farmaate hain Muftiyan-e-kiram is mas’ale ke baare me ki hamaare elaaqe me bahut saare log Huzur Gaus paak,Waris paak,Baba Tajuddin wagairah ki tasweer apne gharo me rakhte hain aur unki badi taazim karte hain,Kya ye sahi hai?
Jawab:Buzurgo ki tasweer ghar me rakhna najaaiz-o-haraam hai. Huzur Gaus paak ki tasweer to saabit hi nahi hai,Jinki tasweer saabit ho,unki tasweer bhi gharo me rakhna najaaiz-o-haraam hai. Balki aam logo ki tasweer ke muqaable in buzurgo ki tasweer rakhna ziyadah sakht haraam aur gunaah hai.Kyunki dunya me Boot-parasti aise hi tasweero se shuru hui hai. Jaisa ki Bukhari sharif me hai ki:
Wadd,Suwa,Yagoos,Yaooq,Nasr.Ye sab Nooh alaihissalam ke qaum ke nek log the.Jab in logo ka inteqaal hua to shaitaan ne inke dilo me ye baat daal di ki jahaan par ye nek log baith-te the us jagah par in logo ka mujassama (Statue) bana kar rakh do.Aur un ka naam un nek logo ke naam par rakh do.To logo ne aisa hi kiya. Phir kuchh zamaane tak unki ibaadat nahi hui yahan tak jab in logo ka bhi inteqaal ho gaya aur ilm kam ho gaya aur jehaalat phail gayi to phir inhi mujassamo ki ibaadat hone lagi.(Yani morti puja shuru ho gaya).[Bukhari,Hadees No.4920]
Aur ek hadees sharif me hai ki “Rahmat ke farishte us ghar me nahi jaate jis me tasweer ho” [Bukhari,Hadees No.3224]
In hadiso se maloom hua ki ghar me kisi bhi jaan-daar ki tasweer rakhna haraam hai.[Fatawa Bahrul Uloom,Jild 5,Page No.507]
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Khaana Saamne Rakh Kar Fatiha Padhna Kaisa Hai? Peer Ke Qadam Par Sar Rakhna Kaisa Hai? Kya Har Milaad Ki Mehfil Me Huzur Aate Hain? Shab-e-Baraat Me Fatiha,Halwe Hi Par Kyun? Gair Sahaabi Ke Liye "Radhi Allaho Anho" Likhna Kaisa Hai? Auraten Mazaar Par Jaa Sakti Hain? Kya Parindo Ko Pinjare Me Qaid Karna Jaaiz Hai?



Dawat-E-Quran