Sawal:Kuchh Mureed log peer sahab ki taazim me apna sar unke qadam par ya unke saamne rakh dete hain,Kya ye sahi hai?
Jawab:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki shari’at me taazimi sajdah haraam hai,Balki taazim ki niyat se sirf ruku ki had tak jhukna bhi mana hai.Hadees sharif hai:
Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho se riwayat hai:Ek shakhs ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Ham me se ek aadmi apne bhai ya dost se mulaqaat kare to kya uske liye jhuke? Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Nahi,Arz kiya ki kya use gale lagaaye aur piyaar kare?Farmaya ki Nahi,Arz kiya ki:Uska haath pakde aur musaaf-haa kare? Farmaya ki Haan. [Tirmizi,Hadees No.2947]
Imam Abdul gani Nabelisi alaihir-rahma “Hadiqa nadyya sharah tariqa Mohammadiya” me farmaate hain ki : Ruku ki had tak jhukna,Kisi ke liye aise hi nahi kar sakte jaise sajdah nahi kar sakte.[Fatawa Amjadiya,Jild 4,Page No.24]
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Khaana Saamne Rakh Kar Fatiha Padhna Kaisa Hai? Ghar Me Buzurgo Ki Tasweer Rakhna Kaisa Hai? Kya Har Milaad Ki Mehfil Me Huzur Aate Hain? Shab-e-Baraat Me Fatiha,Halwe Hi Par Kyun? Gair Sahaabi Ke Liye "Radhi Allaho Anho" Likhna Kaisa Hai? Auraten Mazaar Par Jaa Sakti Hain? Kya Parindo Ko Pinjare Me Qaid Karna Jaaiz Hai?