Gair-e-Sahaabi Ke Liye "Radhi Allaho Anho" Likhna?



Sawal:Jo shahabi nahi hai un ke naam ke saath “Radhi allaho anho” likhna ya bolna kaisa hai?
Jawab:Radhi allaho anho.Ek dua ka jumla hai jis ka maana hota hai ki:Allah un se raazi ho.Is ka istemal jis tarah se sahaba ke liye durust hai usi tarah buzurgaane deen ke liye bhi durust hai.Isi liye ummat ke bade bade ulma ne is lafz ko buzurgo ke liye bhi istemaal kiya hai.Jaisa ki Shaikh Abdul Haq muhaddis Dehlawi ne apni kitaab “Ashe atul Lamaat vol:4,Page No.743” me hazrta-e-Owais Qarni ke liye “Radhi allaho anho” likha hai. Aur apni kitab “Akhbarul Akhyar” me Huzur Gaus-e-Azam ke liye bhi ye jumla likha.Aur Allama Ibne Aabedin shami ne “Raddul Muhtaar,Vol:1,Page No.35-36-37” par Imam Azam Abu Hanifa ke liye is lafz ko istemal kiya.Aur Mishkaat sharif ke likhne wale Hazrat shaikh Wali uddin Muhammad bin Abdullah khatib tabrezi ne Mishkaat sharif ke Muqaddima (shuru ke Page No.11 ) par Hazrat Allama Abu Muhammad Husain bin farra bagwi ke liye is lafz ko istemal kiya.Aur Allama Shahabuddin Khifaji ne apni kitab “Nasimur Riyaz vol:1,Page No.5” par Allama Qazi Ayaz ke liye is lafz ka istemal farmaya jab ki in me se koi sahabi nahi.Is se maloom hua ki Gaire sahabi ke liye bhi lafze “Radhi allaho anho”likhna aur bolna durust hai.Yahan tak ki aam deobandi aur wahabi jo “Radhi allaho anho” ke jumle ko sahaba ke saath khaas samajhte hain aur is mas’ale ko le kar belawajah ladte hai un ke peshwa Qasim nanotwi aur Rashid Ahmad ganguhi ko bhi deobandi ulma ne “Radhi allaho anho” likha hai.Jaisa ki un ki kitab “Tazkiratu Rashid vol:1,Page No.28” par is tarah se likha hua hai.”Molvi Qasim Nanotwi aur Molvi Rashid Ahmad Gangohi sahib radhi allaho anhuma kuchh dino ke baad aise sabaq ke saathi bane ki aakhirat me bhi saath nahi chhoota.”
Bahar haal in hewalo se ye baat zaahir ho gayi ki ye lafz sahaba ke saath khaas nahi hai.Aur is ka istemal gaire sahaba ke liye bhi jaaiz hai.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Khaana Saamne Rakh Kar Fatiha Padhna Kaisa Hai? Ghar Me Buzurgo Ki Tasweer Rakhna Kaisa Hai? Peer Ke Qadam Par Sar Rakhna Kaisa Hai? Kya Har Milaad Ki Mehfil Me Huzur Aate Hain? Shab-e-Baraat Me Fatiha,Halwe Hi Par Kyun? Auraten Mazaar Par Jaa Sakti Hain? Kya Parindo Ko Pinjare Me Qaid Karna Jaaiz Hai?



Dawat-E-Quran