Ambiya-e-Kiram Ke Baare Me Islami Aqide



AQIDA:Allah Ta’ala ne insaano ki hidayat-o-rahnumayi ke liye bahut saare nabiyon aur rasoolon ko dunya men bheja,un me se kuchh nabiyon ke naam Quran-o-hadis me likha huwa hai aur kuchh ke nahi,un sab par imaan laana aur un sab ko haq manna zaruri hai agar koi un me se kisi ko bhi nabi na maane to woh kaafir hai.Isi tarah agar koi jo nabi nahi hai us ko nabi maane woh bhi kaafir hai.

ٌوَلَقَدْ بَعَثْنَا فِیۡ کُلِّ اُمَّۃٍ رَّسُوۡلًا اَنِ اعْبُدُوا اللہَ وَ اجْتَنِبُوا الطَّاغُوۡتَ

TARZAMA: Aur beshak hamne har ummat me ek rasool bheja ke tum log Allah ki ibadat karo aur shaitaan se bacho.[Surah Nahal:36]

وَرُسُلًا قَدْ قَصَصْنٰہُمْ عَلَیۡکَ مِنۡ قَبْلُ وَرُسُلًا لَّمْ نَقْصُصْہُمْ عَلَیۡکَ

TARZAMA: Aur bahut se rasool woh hain jinke bare me hamne aapko pehle bataya aur bahut se woh hain jinke bareme humne nahi bataya.[Surah Nisa:164]

ٌاِنَّ الَّذِیۡنَ یَکْفُرُوۡنَ بِاللہِ وَرُسُلِہٖ وَیُرِیۡدُوۡنَ اَنۡ یُّفَرِّقُوۡا بَیۡنَ اللہِ وَرُسُلِہٖ وَیَقُوۡلُوۡنَ نُؤْمِنُ بِبَعْضٍ وَّنَکْفُرُ بِبَعْضٍ ۙ وَّیُرِیۡدُوۡنَ اَنۡ یَّتَّخِذُوۡا بَیۡنَ ذٰلِکَ سَبِیۡلًا اُولٰٓئِکَ ہُمُ الْکٰفِرُوۡنَ حَقًّا ۚ وَاَعْتَدْنَا لِلْکٰفِرِیۡنَ عَذَابًا مُّہِیۡنًا

TARJAMA: Beshak woh log jo inkaar karte hain Allah Aur uske rasoolon ka aur chaahte hain ke farq karden Allah aur uske rasoolon ke darmiyaan aur kehte hain ke hum kuchh par imaan laate hain aur kuchh ka inkaar karte hain, aur dono ke darmiyaan ek naya rasta banana chahte hain wahi log haqeeqat me kafir hain aur humne kafiron ke liye zillat ka azab taiyar kar rakha hain.[Surah Nisa:150,151]
AQIDA: Allah ta’ala ne unsab ko mauj’za yani aise kaam karne ki taqat ata farmayi jo Nabi ke elawah kisi se bhi na hoske.

لَقَدْ اَرْسَلْنَا رُسُلَنَا بِالْبَیِّنٰتِ وَ اَنۡزَلْنَا مَعَہُمُ الْکِتٰبَ وَ الْمِیۡزَانَ لِیَقُوۡمَ النَّاسُ بِالْقِسْطِ

TARJAMA: Beshak hamne apne rasoolon ko waajeh dalayal (yani muaj’zaat) dekar bheja aur humne inke sath kitab aur mezaan nazil kiya ke logon ko insaaf par qayam kare.[Surah Hadeed:25]

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ النَّبِىُّ - صلى الله عليه وسلم - « مَا مِنَ الأَنْبِيَاءِ نَبِىٌّ إِلاَّ أُعْطِىَ مَا مِثْلُهُ آمَنَ عَلَيْهِ الْبَشَرُ ، وَإِنَّمَا كَانَ الَّذِى أُوتِيتُ وَحْيًا أَوْحَاهُ اللَّهُ إِلَىَّ فَأَرْجُو أَنْ أَكُونَ أَكْثَرَهُمْ تَابِعًا يَوْمَ الْقِيَامَةِ

TARJAMA: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ki: Nabi kareem ﷺ ne irshaad farmaya: Har nabi ko aise muaj’zaat diye gaye jise dekhkar insaan yaqeen kar sake (magar ab isme se koi baaki na raha) aur behsak mujhe wahi(Qur’an) ka mujazah diya gaya (jo qayamat tak baaki rhega) toh mujhe umeed hain ki qayamat ke din meri pairwi karne wale sab se ziyadah honge.[Sahih Bukhari,Hadees No:4981]
AQIDA:Ambiya-e-kiraam sari makhlook se afzal wa behtar hain, aur Allah ta’ala ki bargah me inka bada martaba hai,is liye un ki shaan me koi bhi ghatya lafz istemaal karna kufr hai.

وَ زَکَرِیَّا وَ یَحْیٰی وَ عِیۡسٰی وَ اِلْیَاسَ ؕ کُلٌّ مِّنَ الصّٰلِحِیۡنَ، وَ اِسْمٰعِیۡلَ وَ الْیَسَعَ وَ یُوۡنُسَ وَ لُوۡطًا ؕ وَکُلًّا فَضَّلْنَا عَلَی الْعٰلَمِیۡنَ

TARJAMA: Aur Zakariya, Yahya, Isa aur Ilyaas, saare (Ambiya e kiraam) bade nek logon me se the. Aur Ismail, aur Yas’aa, Yunus, aur Loot aur( inke elawah) saare (nabiyon) ko humne dono jahan par fazilat baksha.[Surah An’aam:85,86]
AQIDA: Magar tamaam Ambiya-e-kiraam ka aapas me ek darjah nahi hain balke ba’az ba’az se afzal hain.

ُوَلَقَدْ فَضَّلْنَا بَعْضَ النَّبِیّٖنَ عَلٰی بَعْضٍ وَّ اٰتَیۡنَا دَاوٗدَ زَبُوۡرًا

TARJAMA: Aur beshak hamne ba’az nabiyon ko ba’az par fazilat bakshi aur humne dawood ko zaboor ata kiya.[Surah Isra:55]
AQIDA:Har ek nabi par imaan lane ke sath unki taazeem-o-tauqeer zaruri hain aur unme se kisi ki bhi shaan me galat alfaaj ya sahi alfaaj galat lehje me bolna ya unhe apni tarah samjhna aur kehna kufr-o-be-deeni hain aur kafiron ki aadat hain.

اِنَّاۤ اَرْسَلْنٰکَ شَاہِدًا وَّ مُبَشِّرًا وَّ نَذِیۡرًا، لِّتُؤْمِنُوۡا بِاللہِ وَ رَسُوۡلِہٖ وَ تُعَزِّرُوۡہُ وَ تُوَقِّرُوۡہُ ؕ وَ تُسَبِّحُوۡہُ بُکْرَۃً وَّ اَصِیۡلًا

TARJAMA: Beshak hamne apko gawah, khuskhabri dene wala aur dar sunane wala banakar bhej, ki aye logon tum imaan lao Allah aur uske rasool par aure unki tazeem-o-tauqeer karo aur subah-o-shaam Allah ki paaki bayan karo.[Surah Fatah:8,9]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تُقَدِّمُوۡا بَیۡنَ یَدَیِ اللہِ وَ رَسُوۡلِہٖ وَاتَّقُوا اللہَ ؕ اِنَّ اللہَ سَمِیۡعٌ عَلِیۡمٌ

TARJAMA: Aye imaan walo Allah aur uske rasool se aage na badho aur Allah se daro, beshak Allah sunne (aur) janne wala hain.[Surah Hujraat:1]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَرْفَعُوۡۤا اَصْوَاتَکُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِیِّ وَلَا تَجْہَرُوۡا لَہٗ بِالْقَوْلِ کَجَہۡرِ بَعْضِکُمْ لِبَعْضٍ اَنۡ تَحْبَطَ اَعْمَالُکُمْ وَ اَنۡتُمْ لَا تَشْعُرُوۡنَ

TARJAMA: Aye imaan walo tum apni awaazon ko nabi ki awaaz pe buland na karo aur unke samne aise chillakar baat na kiya karo jaise tum apne me ek dusre se karte ho ke kahi tumhare a’maal barbaad na hojae aur tumhe khabar bhi na ho.[Surah Hujraat:2]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رَاعِنَا وَقُوۡلُوا انۡظُرْنَا وَاسْمَعُوۡا ؕ وَ لِلۡکٰفِرِیۡنَ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ

TARJAMA:Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho balke “unzurna” kaho aur gaur se suno. Aur kaafiron ke liye bada dardnaak azaab hain.[Surah Baqra:104]
Note:Nabi ko apni tarah kahna aur samajhna kaafiron ki aadat hai.Har zamaane ke kaafiro ko jab Ambiya-e-kiram ne Allah ki taraf bulaaya to woh kahne lage ki tum to hamari tarah ka ek aadmi ho.Ham tumhari baat kaise maan le ki tum Nabi ho Aur Allah ki taraf se tumhaare paas paigaam aata hai.Quran sharif me jagah jagah in baton ka zikr aaya hai.Kuchh aayaten ye hain.

قَالُوۡۤا اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مِنَ الْمُسَحَّرِیۡنَ وَمَاۤ اَنۡتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا وَ اِنۡ نَّظُنُّکَ لَمِنَ الْکٰذِبِیۡنَ

TARJAMA: (Hazrat Shoaib alaihesalam ke zamane ke kaafiron ne unse) kaha: Beshak tum par jaadu kiya gaya hai, aur tum to nahi ho magar hamari tarah bashar (aadmi) aur ham to tumhe jhuthon me se samjhte hain.[Surah Shu’ara:186]

قَالُوۡۤا اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مِنَ الْمُسَحَّرِیۡنَ مَاۤ اَنۡتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا ۚۖ فَاۡتِ بِاٰیَۃٍ اِنۡ کُنۡتَ مِنَ الصّٰدِقِیۡنَ

TARJAMA: (Hazrat Saleh alaihesalaam ke zamane ke kaafiron ne unse) kaha: Beshak tum mashoorein me se ho aur tum to nahi ho magar humari tarah bashar, agar tum sacche ho toh koi nishaani le aao.[Surah Shu’ara:153,154]

قَالُوۡا مَاۤ اَنۡتُمْ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا ۙ وَ مَاۤ اَنۡزَلَ الرَّحْمٰنُ مِنۡ شَیۡءٍ ۙ اِنْ اَنۡتُمْ اِلَّا تَکْذِبُوۡنَ

TARJAMA:Kaafiron ne kaha tum to nahi ho magar humari tarah bashar, Rahman ne kuchh nazil nahi kiya, tum to sirf jhooth bolte ho.[Surah Yaseen:15]

وَ اَسَرُّوا النَّجْوَی ٭ۖ الَّذِیۡنَ ظَلَمُوۡا ٭ۖ ہَلْ ہٰذَاۤ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُکُمْ ۚ اَفَتَاْتُوۡنَ السِّحْرَ وَ اَنۡتُمْ تُبْصِرُوۡنَ

TARJAMA: Zaalimon ne sargoshi me kaha: Ye toh nahi hain magar tumhari tarah bashar, toh kyat um log jaadu ke paas jaate ho jab ke tum khud dekhte ho.[Surah Ambiya:3]
AQIDA: Tamaam Ambiya e kiraam mard hue, koi bhi aurat ya jinn nabi nahi hua, aur Allah ta’ala ne apni meharbaani se har nabi ko unki qaum ki zubaan hi me bheja taaki logon ko unki baaten achchhi tarah samajh aaye.

وَمَاۤ اَرْسَلْنَا قَبْلَکَ اِلَّا رِجَالًا نُّوۡحِیۡۤ اِلَیۡہِمْ فَسْـَٔلُوۡۤا اَہۡلَ الذِّکْرِ اِنۡ کُنۡتُمْ لَا تَعْلَمُوۡنٌَ

TARJAMA: Aur hamne aap se pehle (nabi ya rasool banakar) nahi bheja magar sirf mardon hi ko , hamne unki taraf wahi farmayi. To tum janne walon se puchh lo agar nahi jante ho to.[Surah Ambiya:7]

وَمَاۤ اَرْسَلْنَا مِنۡ رَّسُوۡلٍ اِلَّا بِلِسَانِ قَوْمِہٖ لِیُبَیِّنَ لَہُمْ

TARJAMA: Aur hamne har rasool ko unki qaum ki zubaan me bheja ke woh unke liye khoob khool karke bayaan karde.[Surah Shu’ara:3]
Share.........




Related Topics



Allah Ta'ala ke baare me islami aqide Hamare Nabi ﷺ ke baare me islami aqide Farishton ke baare me islami aqide Aasmani Kitabon ke baare me islami aqide Taqdeer ke baare me islami aqide Sahaba ke baare me islami aqide Auliya Allah ke baare me islami aqide Aakhirat ke baare me islami aqide Qayamat ke baare me islami aqide



Dawat-E-Quran