Taqdeer Ke Baare Me Islami Aqide



Dunya me jo kuchh hota hai aur bande jo kuchh bhala’ee ya bura’ee karte hain Allah taala ne use apne ilm ke mutabiq pahle se likh diya hai usi ko Taqdeer kehte hain. Ye haq hai aur is par imaan laana zaruri hai.aur is ka inkaar karne wala gumraah bad’mazhab hai.
Lekin koi ye khayal na kare ki Allah Taala ne hamari taqdeer me jaisa likh diya hai hame majburan waisa hi karna padta hai. sahi baat ye hai ki ham jaisa karne wale the Allah taala ne apne ilm se wisa hi likh diya.agar kisi ki taqdeer me bura’ee likhi to is liye ki woh apne ekhtiyar se bura’ee karne wala tha agar woh bhala’ee karne wala hota to Allah taala uski taqdeer me bhala’ee likhta. khulasa ye hai ki Allah taala ke likh dene se banda kisi kaam karne par majboor nahi kiya gaya. Taqdeer ka pahle se likha jaana haq hai aur is par imaan laana zaruri hai.Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:

َلاَ يُؤْمِنُ عَبْدٌ حَتَّى يُؤْمِنَ بِأَرْبَعٍ : بِاللَّهِ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ ، وَأَنِّي رَسُولُ اللهِ ، وَالْبَعْثِ بَعْدَ الْمَوْتِ ، وَالْقَدَرِ. [ابن ماجہ: ۸۱]

TARJAMA: koi banda momin nahi ho sakta jab tak ki woh chaar (4)baton par imaan na le aaye.(1)Allah par jis ka koi shareek nahi hai.(2)Aur ye ki beshak main Allah ka Rasool hun.(3)Marne ke baad dobarh zinda kiye jaane par.(4)Aur TAQDEER par. [Ibn-e-majah , hadith 81]
Aur taqdeer ke inkaar karne walon ko is ummat ka “Majusi”kaha gaya jaisa ki hadis sharif hai:

عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ ، قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : إِنَّ مَجُوسَ هَذِهِ الأُمَّةِ الْمُكَذِّبُونَ بِأَقْدَارِ اللهِ ، إِنْ مَرِضُوا فَلاَ تَعُودُوهُمْ ، وَإِنْ مَاتُوا فَلاَ تَشْهَدُوهُمْ ، وَإِنْ لَقِيتُمُوهُمْ فَلاَ تُسَلِّمُوا عَلَيْهِمْ.[ابن ماجہ: ۹۲]

TARJAMA:Hazrat-e-Jabir bin Abdullah radhi allaho anho bayan karte hain ki Rasoolallah ﷺ ne irshad farmaya ki:Be-shak is ummat ke Majoos Allah taala ki taqdeeron ko jhutlaane wale hain.agar woh bimaar ho jaayen to un ki iyadat na karo aur agar woh mar jaayen to un ka janaza na padho aur agar tum se un ki mulaqaat ho to unhen salaam na karo.[Ibn-e-majah,hadith No:92]
FAAIDA: TAQDEER ke mas’ale me bahas karna aur us ke baare me ziyadah gaur-o-fikr karna mana hai kyunki is ki wajh se gumrah hone ka andesha hai.Isi liye jab Huzur ne ek baar sahaba ko is mas’ale me bahas karte hue dekha to Aap ﷺ bahut naa’raaz hue , hazrate Amar bin shu’aib radhi allaho naho bayan karte hain ki Aap ﷺ ka chehra-e-aqdas gosse se itna surkh ho gaya ki maloom padta tha ki aap ke chehre me anaar ka daana nichod diya gaya hai.[Ibn-e-majah ,hadith No:85]
Ek dusri hadis me hai ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki jis ne TAQDEER ke baare me bahas kiya us se us ke baare me Qayamat ke din sawal kiya jaayega aur jis ne bahas nahi kiya us se us ke baare me nahi puchha jaayega.[Ibn-e-majah,hadith No:84] Is liye hame bus itna yaqeen rakhna chahiye ki ye haq hai aur us ke baare me bahas karne se bachna chahiye .aur ye sauch kar na baith jaana chaahiye ki jo likha hai woh to ho kar rahega phir ham kyun mehnat wa mushaqqat kare.Balki TAQDEER par yaqeen rakhne ke saath TADBEER par bhi amal karna chahiye kyunki hame isi ka hukm diya gaya hai.
Share.........




Related Topics



Allah Ta'ala ke baare me islami aqide Ambiya-e-Kiram ke baare me islami aqide Hamare Nabi ﷺ ke baare me islami aqide Farishton ke baare me islami aqide Aasmani Kitabon ke baare me islami aqide Sahaba ke baare me islami aqide Auliya Allah ke baare me islami aqide Aakhirat ke baare me islami aqide Qayamat ke baare me islami aqide



Dawat-E-Quran