Dalaali Ya Agent Commission Ka Hukm



Sawal:Dukaan aur makaan wagair chize bikwaane par ya customer laane par dalaali wasool ki jaati hai jis ko agent commission bhi kahte hain.Kabhi % par hota hai to kabhi koi raqam muqarrar hoti hai to kabhi bechne wala apni chiz ki qimat bata deta hai aur ye kahta hai ki is par jo ziyadah raqam aaye woh tumhaari hai ya kabhi kuchh bhi tay nahi hota to dalaal ko khushi se kuchh de diya jaata hai,To ye sab suraten jaaiz hain ya nahi?
Jawab:: Agar dalaal kuchh kaam karta hai ki kisi ki zameen aur kisi ka samaan bechne ke liye kharidne aur bechne wale ke darmiya daur dhoop karta hai ya mobile se contact kar ke koshish kar ke logo ko tayyar karta hai,Koi dhoka fareeb nahi karta to aise dalaal ke liye tafseel ye hai ki:
Agar aise dalaal ki koi mazduri tay nahi hai aur wahan ka aam chalan bhi yahi hai ki aise dalaal ko mazduri dene ki koi baat nahi hoti,Aur us ne samaan ko koshish kar ke bechwa diya,Baad me kharidne aur bechne wale ne ya sirf kisi ek ne apni khushi se kuchh de diya to ye uske liye nazraana aur tohfa hai.Aur ye bilkul jaaiz hai is me koi harj nahi hai.
Haan! Agar wahan par aam chalan ye hai ki jo aisa kaam karta hai usko zarur diya jaata hai uska haq samajh kar aur woh apna haq samajh kar leta hai,Tab uski haisiyat mazduri ki hai. Aur mazduri ka qanoon ye hai ki job hi mazduri ho woh dono party ko maloom ho aur fix ho ki kitni ya kya mazduri hai present ke etebaar se maloom hoy a cash ke etebaar se maloom ho.Jaise ye kahe ki tum ye zameen bikwa do to tumhe 2 hazaar rupiye ham ujrat denge.To ujrat maloom aur fix hai ya ye bata diya jaae ki ek laakh par tum ko 2 hazaar diya jaaega.To is tarah se agar present ke etebaar se mazduri maloom aur fix ho to bhi jaaiz hai aur rupiye ki shakal me maloom aur fix ho to bhi jaaiz hai.Aur agar majhool ho yani ki maloom aur muqarrar na ho to ye jaaiz nahi hai.Jaise kisi ne kaha ki tum hamari ye zameen bechwa do 10 laakh me ,Hamare nazdik zameen ki qimat 10 laakh hai, ham ko tum 10 laakh de dena aur uske upar tum jitna me chaaho becho,10 laakh se upar jo bhi hoga woh tumhaara.Ab is surart me 10 laakh se upar kitna hoga ya woh kitne me bechega ye kuchh bhi maloom nahi hai.Woh apne kharidaar ka istehsaal bhi kar sakta hai,phir uski mazduri kya hogi ye bhi maloom nahi hai,is liye ye surat jaaiz nahi hai.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



M.L.M (Multi Level Marketing) ka kya hukm hai? Doctor ke liya dawa company se commission lene ka hukm Kin chizo ki tijaarat haraam hai? Kisi bhi chiz par kitna nafa lena jaaiz hai?



Dawat-E-Quran