Sawal:Kuchh musalman hindo ke tehwar ke mauqe par chhote chhote morti bechte hai.Kya musalmano ke liye morti bechna jaaiz hai?
Jawab:Musalmano ke liye murti bechna sakht najaaiz aur gunah ka kaam hai.Hazrate Jaabir bin Abdullah radhi allaho anho bayan karte hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Fatah e Makka ke saal irshad farmaya ki:Beshak Allah aur us ke Rasool ne sharaab,murdaar, khinzeer aur buto ke bechne ko haraam kar diya.(Sahi Bukhari,Hadis No.2236) is liye aise kaamo ke baare me musalmano ko sochna bhi nahi chahiye.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
M.L.M (Multi Level Marketing) ka kya hukm hai? Currency change karne ka income kaisa hai? Doctor ke liya dawa company se commission lene ka hukm Kisi bhi chiz par kitna nafa lena jaaiz hai?