Multi Level Marketing Ka Hukm



Sawal:M.L.M (Multi Level Marketing) ka kya hukm hai?
Jawab:Multi level marketing me shari’at ke etebaar se bahut saari kharaabiya hain.Jaise jhoot,dhoka aur gair-munasib shart wagairah.Is me asal maqsad samaan ki kharid-o-farokht nahi hoti,Balki farzi faaide bata kar ya ahmiyat dilaane ke naam par bahut saare jhoot bol kar sidhe saadhe logo ko ziyadah se ziyadah member banaane ki koshish ki jaati hai,Aur asal me iske zariye se apna commission badhaane ka target aur mansuba hota hai. Aur future me khiyaali income ka hara baag dikha kar 2,3 hazaar ka samaan 10 hazaar me becha jaata hai.Aur company ke rule ke mutaabiq har member ko un members ki kharidaari par bhi raqam diya jaata hai jinko member banaane me uski koi mehnat nahi hoti,Balki woh uske niche ke members me se kisi ke banaaye hue member hote hain.Is liye khulaasa ye hai ki aise company ka member ban kar member banaane ka kaam karna aura lag alag tariqo se maali faaida haasil karna jaaiz nahi hai.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Currency change karne ka income kaisa hai? Doctor ke liya dawa company se commission lene ka hukm Kin chizo ki tijaarat haraam hai? Kisi bhi chiz par kitna nafa lena jaaiz hai?



Dawat-E-Quran