Doctor Ka Dawa Company Se Commission Lena Kaisa Hai?



Sawal:Main ek doctor hun.Mere paas ek dawa company ka aadmi aaya aur kaha ki agar main unki dawaao ka brand likhta hun to company mujhe bechi gayi dawaao ka 30% hissa degi,Kya ye jaaiz hai? Isi tarah Ultrasound ya blod test kisi khaas Lab se likhte hain to uske badle me Lab wale apna munaafe me se 30% ya 40% hissa dete hain.Kya ye commission lena aur Lab walo ka dena jaaiz hai?
Jawab:Agar doctor is shart par kisi company ki dawa likhta hai ya test ke liye kisi khaas Lab ko laazim kar deta hai ki,Uske badle ek hisaab se apna commission wasool karega,To aisa karna jaaiz nahi hai.Fatawa hindiya me hai:

أَنْ يَشْتَرِطَ أَنَّهُ إنَّمَا يُهْدِي إلَيْهِ لِيُعِينَهُ عِنْدَ السُّلْطَانِ، وَفِي هَذَا الْوَجْهِ لَا يَحِلُّ لِأَحَدٍ الْأَخْذُ.

Agar kisi ekhtiyaar wale shakhs ko kisi kaam me madad karne ki shart ke saath tohfa (ya commission) diya gaya to ye uske liye jaaiz nahi hai.
Shart lagaaye jaane ke baad ye commission sirf tohfa nahi rahta balki ek tarah ka kaar-o-baar ka agreement ban jaata hai.Jis me ek fareeq apne ekhtiyaar ki wajah se commission leta hai,Aur iska pura bojh tisara fareeq yani mariz ko uthaana parta hai.Kyunki dawa banaane wali company apne products ka tamaam kharcha kharidaar par hi daalti hai.Kharidaar dawa ki jo qimat ada karta hai usme doctor ka commission aur advertise ke kharche bhi shaamil hote hain.
Aur agar doctor commission ke laalach me non-standard dawa likhta hai ya gair zaruri test likhta hai to ye kamaayi bilkul haraam hogi.
Is commission ke jaaiz hone ki sirf ek surat hai,Woh ye hai ki dawa company ke log doctor ke paas aaye aur begair kisi shart ke sirf waqt dene par unko koi tohfa de.To is tohfe ka lena jaaiz hoga.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



M.L.M (Multi Level Marketing) ka kya hukm hai? Currency change karne ka income kaisa hai? Kin chizo ki tijaarat haraam hai? Kisi bhi chiz par kitna nafa lena jaaiz hai?



Dawat-E-Quran