Haiz Aur Nifaas Ke Masaail



Sawal: Haiz kise kehte hain?
Jawab: Baaliga aurat ke aage ke maqaam se jo khoon aadat ke taur par begair kisi bimari aur begair bachche ki paidaish ke niklta hai us khoon ko haiz kehte hain.
Sawal: Haiz ki kam se kam aur ziyada se ziyada kya muddat hai?
Jawab: Haiz ki kam se kam muddat 3 din 3 raat hai. Yaani pure bahttar(72) ghante hain. Kuchh bhi kam raha to woh haiz nahi maana jaaega. Aur ziyada se ziyada muddat 10 din 10 raat hai. Agar 10 din se ziyada ho to woh bhi haiz nahi maana jaaega.
Sawal: Agar kisi aurat ko 10 din se ziyada 13 ya 14 din khoon aaya to uska kya hukm hai?
Jawab: Agar kisi aurat ko 10 din se kuchh bhi ziyada khoon aaya to agar yeh pehla mauqa hai yaani pehli baar haiz aaya hai toh 10 din mukammal haiz maana jaaega.Baaqi ko bimaari ka khoon maana jaaega, jisko istehaza kehte hain.
Sawal: Agar kisi aurat ko teen se kam din khoon aaya to usko haiz maana jaaega ya nahi?
Jawab: Haiz ki muddat kam se kam teen din hai to agar kisi aurat ko teen din se kam khoon aaya to haiz nahi maana jaega, balki usko istihaja yaani bimari ka khoon qarar diya jaaega.
Sawal: Haiz ki muddat 10 din aur 10 raat hai magar aksar auraton ki ek aadat ban jaati hai, kuchh auraton ko 4 hi din me khatm hojata hai aur kuchh ko 5, 6 ya 7 din me khatam hota hai to us ka kya hukm hai?
Jawab: Agar kisi aurat ki aadat mukarrar (fix)hai ki usko mahine me 5 hi din khoon aata hai, agar usko kabhi 10 din khoon aagay to dason din haiz ka hi maana jaaega. Aur agar 11 ya 12 din aagay to ab haiz 5 hi din maana jaaega baaqi 6 ya 7 din bimari ka khoon maana jaaega.
Sawal: Agar kisi aurta ki aadat muqarrar nahi hai. kabhi 5 din me khatm hota hai aur kabhi 6 din me aur kabhi 7 ya use kam hi din me aur ab 10 din se ziyada aagay to uske liye kya hukm hai?
Jawab: Agar kisi aurat ki aadat mukarrar na ho to pichhle baar jitne din aaye the utna hi din haiz ka maana jaaega baaqi din jo ziyada hain sab ko istihaja yaani bimari ka khoon maan jaaega.
Sawal: Nifaas kise kehte hain?
Jawab: Bachche ki paidaish ke baad jo khoon nikalta hai use nifaas kehte hain.
Sawal: Nifaas ki kam se kam aur ziyada se ziyda muddat kya hai?
Jawab: Nifaas ki kam se kam koi muddat muqarrar nahi hai ek ghanta adha ghanta ya ek din aur do din bhi ho sakta hai. Har aurat ki alag alag aadat hoti hai. Aur ziyada se ziyada 40 din hai. Aur agar 40 din se ziyada khoon aaya aur uska yeh pahli baar ka mamla hai to 40 din nifaas ka maana jaaega aur baaqi istehaaza yaani bimaari ka khoon maana jaaega. Aur agar uski nifaas me pahle se koi aadat hai aur ab 40 din se ziyada aaya to aadat ke din ke elawah baaqi sab ko istehaaza qaraar diya jaaega. Aur agar pahle se koi aadat muqarrar nahi hai kisi bachche me 10 din aaya aur kisi me 11 ya 12 din to pichhli baar ka aitabaar hoga. Yaani pichhli baar jitne din aaya tha utna din nifaas ka hoga aur baaqi sab istihaaza.
Sawal: Haiz aur nifaas ki haalat me aurat kya kar sakti hai aur kya nahi?
Jawab: Haiz aur nifaas ki haalat me namaaz padhna, roza rakhna, quran sharif ki tilawat karna zubani ho ya dekh kar, usko chhuna harf ko chhuye ya saadah hissa ko, isi tarah shauhar ke saath sohbat karna yeh sab najaa’iz aur gunah hai. Iske elawah kalma shareef, darood shareef aur dusari duaein padhne aur chhune me koi harz nahi hai, balke ye sab kaam karte rahna chahiye. Isi tarah se is haalat me mard ke saath khaane pine aur baat chit krne me koi harj nahi hai. Yahan tak ke uske saath sona bhi jaa’iz hai. Haan! naaf se le kar ghutne tak mard ke liye begair kisi kapde ke chhuna jaaiz nahi hai.
Sawal: Haiz ki haalat me jo namaz, roze qaza hui hain unko adaa krna zaruri hai ya nahi?
Jawab: Haiz ya nifaas ki haalat me namaaz bilkul maaf hain baad me unki qaza bhi nahi krni hai, lekin roza us waqt toh rakhna haraam hai magar baad me uski qaza karna zaruri hai. Agar baad me roze adaa nahi karegi to gunahgaar hogi.
Sawal: Haiz aur nifaas ka khoon band hone ke baad gusal karne se pahle hambistari karna durust hai ya nahi?
Jawab: Agar haiz ya nifaas aksar muddat par khatam howa, yani haiz 10 din par aur nifaas 40 din me to us surat me gusal karne se pehle sohbat karna jaaiz hai, lekin behtar ye hai ke gusal ke baad kare. Aur agar haiz me 10 din se pahle aur nifaas me 40 din se pehle khoon aana band ho gaya to jab tak gusal na krle ya jis namaz ke waqt me khoon band howa us namaaz ka pura waqt na gujar jaaye sohbat krna jaaiz nahi hai. Jin auraton ki aadat muqarrar hai,agar kabhi ittefaaq se us se pahle hi khoon band ho gaya to ab gusal kar lene ke baad bhi sohbat krna jaaiz nahi hoga jabtak ke aadat ke din pure na ho jaaye. Jaise ki kisi ki aadat 6 din ki thi magar is baar 5 hi din par band ho gaya aur usne gusal bhi kar liya tab bhi sohbat karna jaaiz nahi hoga balk ek din aur intzaar karna wajib hoga.
Share.........




Related Topics



Wazu aur Gusal ke Masaail Namaz ka Mukammal Tariqa Namaz ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail



Dawat-E-Quran