Sawal:Auratoon ki namaz padhne ka mukammal tariqa kya hai.
Jawab:Auratoon ki namaaz padhne ka sunnat tariqa yeh hai ki: Baa-wazu qibla rukh, dono paon ke panjon me 4 ungli ka faasla kar ke khadi ho jaaen
aur dono haath kandhe tak iss tarah le jaae ki hatheliya qibla rukh hon.
phir niyat kar ke “Allah o Akbar” kehte hue dono haath sine par is tarah bandhe ki baaya haath niche aur daahina haath upar ho.
Phir sana parhe “Subhanakallah Humma Wa Bihamdika Wa Tabarakasmuka Wa Ta'ala Jadduka Wa Laa ila'ha Ghairuk”.
Phir ta'awwuz-o-tasmiya yani "A'oozu Billahi Minas Shaitaanir Rajeem" aur "Bismillah' ir'rahman'ir' Raheem"padhe Phir surah fatiha parhe aur akhir me “Ameen” aahista kahen. Iske baad koi surat ya teen chhoti aayaten ya ek aayat jo ki chhoti teen aayatoon ke barabar ho tilawat kare. Phir“ALLAH O AKBAR” kehte hue ruku ke liye sirf itna zhuk jaae ki haath ghutno tak pahuch jaae, mardon ki tarah pith bilkul sidhi na karen aur na hi zor se ghutne pakre balke sirf us par haath rakh de .
aur kam se kam teen baar “Subhana Rabbi'al Azueem” Padhe.Phir “Sami Allahu Liman Hamidah.Rabbana wa lakal hamad” Kehte hue bilkul sidhi khadi ho jaein Phir “ALLAH O AKBAR” kehte hue sajde me chali jaaen. Aur laga taar do sajda karen. Sajda kkarne ka tariqa yeh hai ki dono pair ko daheni taraf nikaal kar pet ko raan se chipka den aur dono haath ko kehuniyoon samet zmeen par bichha den is tarah se ki peshani aur naak ka narm hissa zameen se lag jaae.
Aur dono sajdoon me kam se kam teen baar “Subhana Rabbi al A'ala” Padhen, dono sajdoon se farig ho ne ke bbad khadi ho jaaen aur phir “Bismillah hir rahman nir rahim” padh ke “Alhamd” aur koi surat parhen phir pahli rakat ki tarah ruku aur sajda karen us ke baad tashahud yani “Attahiyaat” padhne ke liye dono paon ko daheni taraf nikal kar baaein sureen zameen par rakh kar baith jaaen aur attahiyat padhein.
“Attahiyyaatu Lillahi Was Salawato Wattayyibatu Assalamu Alaika Ayyuhannabi 'o 'Warahmatullahi Wabarka'tuhu Assalamu Alaina Wa'ala'Ibadillahis Sa'liheen, Ash'had'u'un La ilaha illallahu Wa Ash'hadu Anna Muhammadun Abd'uhu Wa Rasooluh”
Tahiyat padhte waqt jab “un La ilaha” par pahuche to “La”par dahine haath ki anghuthe aur bich ki ungli ka halqa bana kar kalme wali ungli se ishara kare yani sidha khada kar de magar use hilaae nahi,aur “Il lallah” kehte waqat gira de aur phir haatheli raan par pehle ki tarah bichha den. Ab agar do se ziyadah rikaat padhni hai to attahiyat ke baad fauran khadi ho jaae aur usi tarah se padhe magar farazoon ki un rikatoon me “Alhamd” ke bad surst milana zruri nahi aur 4 rakat wali namaaz me tisari rikaat ke sajde ke baad fauran kahda hona hai. Akhiri Qaada jiske baad namaaz khatam karni ho usme attahiyat padhne ke baad darood-e-Ibrahim padhe.
“Allahumma salli ala muhammadiw wa ala aali muhammadin kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid. Allahumma baarik ala muhammadiw wa ala aali muhammadin kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid”
Phir koi bhi dua e masoora padhe kuchh dua e masoora ye hain.
1. Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kathiran wa la ya'ghfirudh dhunuuba illa anta fa'ghfir li ma'ghfiratan min ‘indika warhamni innaka antal ‘ghafurur rahim.
2.Allahumag Firi li Wali Wale Dayya Wal Ustaad'e Wal Jamee'il Mu'mineena Wal Mu'meenat Wal Muslimeena Wal Muslimatil 'Ahya'eMinhum Wal Amwaat'e Innaka MujeebudDa'waatBirahmatikaYa Ar'hamarr'ahimeen.
3. Allahumma Rabbana Aatina Fid DuniyaHasanatawWafil Akhirati Hasanataw Wa QinaAzaabanNaar”
uske baad dahine kandhe ki taraf muh karke “Assalamoaliakum wa rahmatullah” kahe phir baaye kandhe ki taraf.
Ab namaz puri hogayi. Iske baad Allah Ta’ala ki bargah me jis tarah se bhi dua kar sakti hon girya wazaari ke saath dua kar le kyuki farz namazon ke baad mangi gayin duaen Allah ﷻ ki barhag me jald qabool hoti hain.
Share.........
Wazu aur Gusal ke Masaail Namaz ke Masaail Haiz aur Nafaas ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail