Istihaaza Ke Masaail



Sawal: Istihaaza kise kehte hain?
Jawab: Woh khoon jo aurat ke aage ke maqaam se nikle aur haiz aur nifaas na ho to use istihaaza kehte hai. (aisa aam taur par bimaari ki wajah se hota hai)
Sawal: kya jis tarah se haiz aur nifaas ki haalat me namaaz padhna, roze rakhna, aur shauhar ke saath sohbat karna wagairah haram hai usi tarah istihaaza ka bhi hukm hai ya nahi?
Jawab: Nahi! Isitihaaza ki haalat me nahi namaaz maaf hai aur nahi roze chhodne ki ijazat hai aur naa hi is haalat me sohbat karna najaaiz hai.
Sawal: Agar kisi ko istihaaza ka khoon aata hai to woh kaise namaaz padhegi?
Jawab: Namaaz ke waqt me jab khoon band rahe us waqt wazu kar ke namaaz padh le. Aur agar khoon itna ziyada aata hai ki pure namaaz ke waqt me itna bhi waqt nahi milta hai ki wazu kar ke farz ada kar sake to namaaz ka pura ek waqt shuru se aakhir tak isi haalat me guzar jaane par usko ma’azur(yani majbur) qarar diya jaaega. Aur ab uske liye hukm ye hoga ke woh har namaaz ke waqt wazu kare aur us waqt me jitni namazen chahen ada kare. Khoon ka qatra tapakta hi kyun na rahe.is pure ek waqt me khoon aate rehne se uska wazu na tootega, jab tak dusri koi wazu ko todne wali chiz na payi jaaye. Haan !jab us namaaz ka waqt khatam ho jaaega aur dusri namaz ka waqt chala aaega to pehle wala wazu khatam hojaaega chaahe koi chiz payi jaae ya nahi paayi jaaye. Aur us namaaz ke liye dusra wazu karna padega.
Sawal: Ek aurat ko mukammal ek namaaz ka waqt aisa gujar gaya ke use itni bhi mohlat nahi mili ke woh wazu kar ke farz namaaz ada kar paati lekin dusri namaaz ke waqt me itni mohlat milti hai ke woh wazu karke namaz padh sakti hai toh kya woh ab bhi ma’azur (majbur)maani jaaegi?
Jawab: Haan! jab dusri namaz ke waqt me bhi khoon aa raha hai agarche pehle se kam hogaya toh ab bhi ma’azur(majbur) maani jaaegi. Yaani ek baar majburi saabit hone ke baad ye zaruri nahi hai ke aane wale har waqt waisa hi gujre balke dusre waqt me ek baar bhi aagaya to majburi saabit rahegi aur uska hukm wahi hoga jo upar bayan howa.
Share.........




Related Topics



Wazu aur Gusal ke Masaail Namaz ka Mukammal Tariqa Namaz ke Masaail Haiz aur Nafaas ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail



Dawat-E-Quran