Namaz Ke Masaail



Sawal: Namaaz ki ahmiyat kya hai?
Jawab: Imaan laane ke baad sab se aham farz namaaz hai.Quran sharif aur hadis sharif me is ki badi fazilat aa'yi hai aur is ke chhodne walon ke liye bada hi sakht azaab bayan kiya gaya hai.Is ki ahmiyat ka andaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki.Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki.Qayamat ke din bande se sab se pehla sawal namaaz ke baare me hoga.agar us ki namaaz ka mamla thik hoga to woh kaamyab ho jaayega aur nijaat paayega nahi to woh na'kaam hoga aur ghaata uthayega.[Sunan Nasa'i,Hadith No.465]
Sawal: Namaaz ke sahih hone ke liye kitni chizon ka hona shart hai jiske begair namaaz hoti hi nahi hai?
Jawab:Namaaz ke sahi hone ke liye 6 baaten shart hain.Yani agar in me se koi shart chhot jaayegi to namaaz shuru hi nahi hogi.
(1) Tahaarat.(Yani badan, Kapda aur us jagah ka paak hona jahan par namaaz padhi jaa rahi ho)
(2) Satr-e-Aurat.(Yani mardon ke liye kam se kam naaf se le kar ghutne tak chhupana aur auraton ke liye chehra,Haath ki hatheli aur qadam ke elawah pure badan ko chhupana)
(3) Waqt.(Yani jis namaaz ka jo waqt hai,us ke ho jaane hi par padhna.To agar kisi ne waqt se pehle hi padh liya to namaaz nahi hogi)
(4) Istiqbaal-e-Qibla.(Yani Qibla ki taraf munh kar ke namaaz padhna)
(5) Niyat.(Yani jo namaaz padhna hai us ka mukammal dil me irada hona.Jaise main Fajar ki 2 rak'at farz namaaz padhne jaa rahi hon wagairah)
(6) Takbir-e-Tahrima.( Yani lafz-e-Allahu akbar bol kar namaaz shuru karna.)
Sawal: Agar kisi aurat ne itna baarik dupatta odh ke namaaz padhi ki dupatte ke upar se baalon ka rang dikhayi de raha that to uski namaz hogi ya nahi?
Jawab: Us surat me namaaz nahi hogi kyunki aurat ko siwaye chehra, haath, aur qadam ke pure badan ko chhupana zaruri hai.
Sawal: Namaaz me aurat ko badan ke jin hisson ko chhupana zaruri hai jaise ke dono hanth kehuni samet, kaan, baal wagairah agar unme se kisi bhi hisse ka ¼ hissa khul gaya lekin usne fauran chhupa liya toh namaz hogi ya nahi?
Jawab: Namaz me aurat ko badan ke jin hisson ko chhupana zaruri hai jaise ke dono haath kehuni samet, kaan, baal wagairah agar un me se kisi bhi hisse ka ¼ hissa khul gaya lekin usne fauran chhupa liya toh namaz ho jaaegi, lekin 3 baar “subhan allah” kahne ki miqdaar tak khula hi rah gaya phir chupayi to namaaz nahi hogi. Isi tarah se un hisson me se kisi ka ¼ hissa khula rehne ki halat me “Allah-o-Akbar” kahkar haath bandh li toh namaaz shuru hi nahi hogi,phir se namaaz ke liye tahreema bandhna hoga.
Sawal: kin waqton me namaaz padhna durust nahi hai?
Jawab: 3 waqt aise hain jin me koi bhi namaz padhna durust nahi hai na farz, na wajib ,na sunnat, , na nafl. Woh teen waqt ye hain(1)Suraj nikalne ke waqt . yaani suraj nikalne se le kar 20 minute baad tak.(2) Suraj dubane se 20 minute pehle ka waqt.Is waqt me koi bhi namaaz padhna durust nahi hai haan! agar usi din ki asar ki namaaz abtak nahi padhi hai to zarur padh le.(3)Nisfun-nehaar, yaani thik dophar ka waqt takreeban 40-50 minute tak namaaz padhna durust nahi hai.
Sawal: In makrooh waqton me quran shareef padhna kaisa hai?
Jawab: In makrooh waqton me quran shareef na padhe to behtar hai aur padh liya to gunah bhi na hoga.
Sawal: namaz me kitni cheezen farz hain?
Jawab: Namaaz me 6 baaten farz hain.agar in me se kisi ek me bhi kami hogi agarche bhul kar hi kyun na ho to namaaz nahi hogi us namaaz ko phir se ada karna zaruri hoga.Woh 6 baaten ye hain.(1) Qayaam.(Yani khade ho kar namaaz padhna) (2) Qiraat.(Yani Quran sharif ka sahi tarah se padhna) (3) Ruku.(Yani kam se kam itna jhukna ki haath ghutne tak pahuch jaaye.) (4) Sajda.(5)Qada-e-akhirah.(Yani namaaz ki aakhiri rak'at me baithna) (6) Khuruj besun 'ihe.(Yani apne iraade se namaaz ko khatam karna.)
Sawal: Aurat ke liye baithkar namaaz padhna ziyada behtar hai ya khade hokar?
Jawab: Jo namaaz farz, wajib, sunnat-e-muakkadah hain unko khade ho kar ada karna farz hai, mard ho ya aurat. To agar kisi ne bina koi sahih majburi ke in namaazon ko baithkar ada ki to uski namaaz hogi hi nahi. Aur agar pahle se is tarah padh chuki hain to un namaazon ko phir se dohrana zaruri hai. Aur nafil namaz baith kar ada karna durust hai lekin isme bhi behtar hai ke khade hokar padhe. Aaj kal dekha jaata hai ke naujawan takatwar log bhi nafal namaaz baithkar ada karte hai ye achhchhi baat nahi.
Sawal: Namaz me jo baaten wajib hai unhe batayein.
Jawab: Namaaz mein bahut saari baaten wajib hain.Agar un me se koi bhul kar chhot jaaye to sajda-e-sahw kar lene se namaaz ho jaayegi lekin agar kisi ne jaan bujh kar chhod diya to aisi namaaz ko dobarah padhna wajib hoga.Namaaz me jo baaten wajib hain woh ye hain.(1)Takbir-e-Tahrima me lafz-e-Allahu akbar ka hona.(2) Surah faatiha padhna.(3) Farz namaaz ki pehli 2 rak'aton me aur baaqi namaaz ki har rak'aat me Surah faatiha ke baad koi surah padhna.Ya Quran sharif ki koi 3 chhoti aayat padhna ya ek aisi badi aayat jo 3 chhoti aayaton ke barabar ho.(4) Surah faatiha ko surah se pehle padhna.(5)Har rak'at me surah se pehle ek hi baar surah faatiha ka padhna.(6) Mukammal Tahiyaat padhna.(7) 4 raka'at wali namaaz ki dusri rak'at me baithne ke baad Tahiyat ke elawah kuchh bhi na padhna.(8) Har rak'at me ruku ka ek hi baar hona.(9) Aur sajde ka 2 hi baar hona. yani 2 se ziyadah sajde na karna.(10) Tadil-e-Arkaan. (Namaaz ke arkaan ko itminaan se ada karna.) Yani ruku se sidha khada hona aur dono sajdon ke darmiyan sidha baithna.(11) Jis namaaz me zor se Qirat hoti hai us namaaz me imam ka zor se Qirat karna aur jis me aahista hoti hai us me aahista Qirat karna.(12) Imam ke pichhe Qirat ke waqt muqtadi ka chup chaap rahna. (13) vitr ki namaaz me dua-e-Qunoot padhna. (14) Takbire Qunoot.Yani dua-e-Qunoot padhne ke liye Allahu akbar kehna.(15)Namaaz se nikalne ke liye lafze "Assalamo" kehna.("Alaikum" ka lafz wajib nahi hai.) (16) Har wajib aur farz ka us ki jagah par hona.(17) Do farz ya do wajib ya farz aur wajib ke bich me 3 tasbih ki miqdaar me waqfah ka na hona.(18) 4 raka'at wali namaaz me tesri rak'at par na baithna.(19) Agar namaaz me bhul hui to Sajda-e-Sahu karna.
Sawal: Agar kisi se alhamd shareef ya at-tahiyat me koi lafz chhuth gaya ya bhul gayi toh namaz hogi ya nahi hogi?
Jawab: Sajdah sahu karne se namaz ho jaaegi. Aur agar kisi ne jaan bujh kar chhodi ya usne galat yaad hi kiya aur usi tarah padhti ho to namaz na hogi.
Sawal: Sajdah sahu kab kiya jata hai aur uska tareeka kya hai?
Jawab: Namaz me jo baaten wajib hain unme se koi wajib bhul se chhut jaaye ya usme galti hojaae to us waqt sajdah sahu karna wajib ho jata hai. Uska tareeqa ye hai ke aakheri rakaat me at-tahiyaat pdhna ke baad daaheni taraf salam phere aur phir 2 sajdah kare uske baad phir se at-tahiyaat , darood-e- Ibrahim, dua e masoora padhe aur salam pher de.
Sawal: kisi par sajdah sahu wajib tha aur woh bhul gayi aur salam pher di to woh ab kya kre?
Jawab: Salam pherne ke fauran baad yaad aaya to usi waqt 2 sajdah kare aur phir at-tahiyaat, darood-e-Ibrahim, dua e masoora padhkar salam pher de namaz ho jaaegi. Lekin salam pherne ke baad kisi se baat karli yaa khadi hogai phir yaad aaya to ab woh namaaz phir se dohraaye.
Sawal: namaz me koi farz bhul se chhoot gaya jaise do sajdah karna farz hai kisi ne ek sajdah ki aur ek bhul gayi to sajdah sahu karne se namaz ho jaaegi?
Jawab: wajib me bhul chuk ho jaane se sajdah sahu uska kaffarah ban jaata hai. lakin farz me bhul chuk ho jaane se sajda sahu kaafi nahi hota balke phir se namaaz ada karna zaruri ho jaata hai.Is liye us surat me namaaz nahi hogi.
Sawal: Agar kisi ko ek hi surat yaad hai to har rakaat me usko padhne se namaaz hogi ya nahi?
Jawab:Har rikaat me ek hi surat parhne se namaaz ho jaaegi, lakin aise logon ko chahiye ki dusri surateen bhi yaad karne ki koshish karen.
Sawal:Agar kisi ko dua-e-Qanooot yaad na ho to kya kare?
Jawab:uski “Rabbana Aatina Fid Duniya Hasanataw Wafil Aakhirati Hasanataw Wa Qina Adhaaban Naar”padh le namaaz ho jaaegi lekin use bhi yaad karne ki koshish karti rahi.
Sawal: kya aurateein jama’at ke saath namaz pardh sakti hain?
Jawab: Nahi,auratoon ko jama’at ki ijazat nahi hai. Aur na hi un ke liye immamat karna durust hai.
Sawal: Eid, Baqra-Eid aur juma ki namaaz auratoon ko parhna hai ya nahi?
Jawab:Eid, Baqra-Eid aur juma ki namaaz auratoon par nahi hai. Juma ke din zohar hi ki namaaz padhengi aur Eid wa Baqra Eid ke din chaahe to nafil namaaz padh len.
Share.........




Related Topics



Wazu aur Gusal ke Masaail Namaz ka Mukammal Tariqa Haiz aur Nafaas ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail



Dawat-E-Quran