Sawal:Jo chiz nichorne ke qaabil nahi ho usko kaise paak kiya jaae?
Jawab:Jo chizen nichorne ke qaabil nahi jaise chataayi,Juta,Bartan wagairah usko dho kar chhor de,Jab paani tapakna band ho jaae to isi tarah do-baar aur dhoe,Tisari baar jab paani tapakna band ho jaae to woh chiz paak hogi.Isi tarah naazuk kapda jo nichorne ke qaabil nahi use bhi isi tarah paak kiya jaae.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Haiz ki haalat me mehandi lagaana kaisa hai? Kya aurat napaaki ki haalat me darood sharif padh sakti hai? Napaaki ki haalat me salam karna,Jawab dena aur sehri karna kaisa hai? Etekaaf ke darmiyan ehtelaam ho jaae to kya hukm hai? Kya dusri baar hambistari ke liye gusal karna zaruri hai? Aurat Ko Sirf Dekhne Se Patla Paani Nikal Jaae To? Badan par tel lagaa kar gusal aur wazu kiya to?