Sawal:Napaki ki haalat me salam karna ya salam ka jawab dena aur khaana pina kaisa hai.Isi tarah agar kisi ne napaki ki haalat hi me sehri kar liya to us ka roza hoga ya nahi?
Jawab:Napaki ki haalat me salam karna ya salam ka jawab dena aur khaana pina jaaiz hai.Kyunki in chizo ke liye paak hona shart nahi hai. Haan!Lekin behtar ye hai ki aisa shakhs wazu kar ke khaae piye.Sahi Bukhari aur Muslim me hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko jab gusal karne ki zarurat hoti aur usi haalat me khaate ya sote to namaaz ki tarah se wazu farma liya karte the.(Sahi Bukhari,Hadis No.288.Muslim,Hadis No.305)
Agar kisi ne napaki ki haalat hi me sehri kar liya to us ka roza ho jaaega.Hazrat Sulaiman bin Yasaar se riwayat hai ki unhone Hazrat umme salma radhi Allaho anha se ek aadmi ke baare me puchha ki woh na-paaki ki haalat me subah karta hai to kya woh roza rakh sakta hai? Hazrat umme Salma ne kaha ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam na-paaki ki haalat me begair ehtelaam ke subah karte,Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam roza rakhte.(Muslim,Kitabus Sayaam,Hadees No.1869)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Jo chiz nichorne ka qaabil nahi ho,Use kaise paak kiya jaae? Haiz ki haalat me mehandi lagaana kaisa hai? Kya aurat napaaki ki haalat me darood sharif padh sakti hai? Etekaaf ke darmiyan ehtelaam ho jaae to kya hukm hai? Kya dusri baar hambistari ke liye gusal karna zaruri hai? Aurat Ko Sirf Dekhne Se Patla Paani Nikal Jaae To? Badan par tel lagaa kar gusal aur wazu kiya to?