Kya Aurat Napaaki Me Darood Sharif Padh Sakti Hai?



Sawal:Kya aurat na-paaki ki haalat me darood sharif padh sakti hai?
Jawab:Haiz ki haalat me aurat Quran paak ki tilawat,Kaaba sharif ka tawaaf,Namaz,Roza aur hambistari nahi kar sakti,Nahi masjid me jaa sakti hai aur nahi kapde ke begair Quran paak ko chhu sakti hai,Nahi aise wazife padh sakti hai jis me Qurani ayaat hon.In ke elawah tasbeeh,zikr aur darood-o-salam padh sakti hai. Ummul momenin Hazrat Aaisha radhi Allaho anha bayan karti hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam Allah Ta’ala ka zikr har haal me karte the.[Muslim, Kitabul Haiz,Hadees No.826]
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Jo chiz nichorne ka qaabil nahi ho,Use kaise paak kiya jaae? Haiz ki haalat me mehandi lagaana kaisa hai? Napaaki ki haalat me salam karna,Jawab dena aur sehri karna kaisa hai? Etekaaf ke darmiyan ehtelaam ho jaae to kya hukm hai? Kya dusri baar hambistari ke liye gusal karna zaruri hai? Aurat Ko Sirf Dekhne Se Patla Paani Nikal Jaae To? Badan par tel lagaa kar gusal aur wazu kiya to?



Dawat-E-Quran