Sawal:Kuchh logo ko bimari ya kamzuri ya kisi aurat ki taraf sirf dekhne ki wajah se mazi (yani halka patla pani) nikal jaae to kiya uski wajah se admi napaak ho jaaega aur use gusal karna parega?
Jawab:Mazi ke nikalne se gusal karna zaruri nahi hota.Haan us se wazu zarur toot jaata hai.Is liye agar kisi ko aisa ho to us ko chahiye ki woh apna sharamgaah dho kar wazu kar le.Jaisa ki Sahi Bukhari aur Muslim mein hai ki:Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki mujhe mazi ke nikalne ki bimari thi aur is ke baare mein huzur se puchhne mein mujhe sharam aati thi.To main Miqdad bin Aswad(radhi allaho anho) se kaha ki aap is ke baare mein huzur se puchhye.To unhone huzur se puchha to Huzur ne farmaya ki:Aise shakhs ko chaahiye ki woh apne sharamgaah ko dho le aur wazu kar le.(Sahi Bukhari,Hadis No.178.Muslim,Hadis No.303)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Jo chiz nichorne ka qaabil nahi ho,Use kaise paak kiya jaae? Haiz ki haalat me mehandi lagaana kaisa hai? Kya aurat napaaki ki haalat me darood sharif padh sakti hai? Napaaki ki haalat me salam karna,Jawab dena aur sehri karna kaisa hai? Etekaaf ke darmiyan ehtelaam ho jaae to kya hukm hai? Kya dusri baar hambistari ke liye gusal karna zaruri hai? Badan par tel lagaa kar gusal aur wazu kiya to?