Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Huzur ﷺke dunya me aane se pahle jis tarah log aur bahut saari buraiya karte the usi tarah apne Maa Baap ke saath bhi bada ghatya sulook kiya karte the.Un ke bure sulook ka andaaza is baat se lagaya jaa sakta hai ki:Jab us zamaane me kisi ke baap ka inteqaal ho jaata tha to us ke bete jab apne baap ke maal aur daulat ko aapas me bant te the to “Maa” ko bhi ek maal samajh kar baant lete the aur “Maa” jis ke hisse me aati thi to woh ya to khud apni maa se shadi kar liya karta tha ya use bech kar maal aur daulat haasil kar liya karta tha.(Tauba)
Huzur ﷺ ne dunya se in tamaam buraiyo ko khatam farmaya. Aur logo ko maa baap ka sahi maqaam aur martaba bataya: Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Tumhare maa baap tumhare liye jannat bhi hain aur dozakh bhi hain.Yani unki izzat-o-ehteram aur khidmat karna tumhare jannat me jaane ka sabab hai aur unki beizzati aur naa-farmabardari karna tumhare dozakh me jaane ka sabab hai.(Ibn-e-Maja,hadiss No.3662)
Aur Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: ki us shakhs ki naak mitti me mil jaae aur woh zalil ho jaae jo apne maa baap dono ya ek ko burhaape me paaya lekin un ki khidmat nahi kiya ki jannat me chala jaata.(Sahi Muslim,Hadis No.2551)
Aap ﷺ ne jis tarah logo ko apne maa baap ki khidmat aur un ki izzat karne ki taalim diya usi tarah aap ne khud bhi kar ke dikhaya. Chunancha Aap Sallallaho alaihe wasallam ke apne maa baap to aap ke bachpane hi me inteqal farma gaye the.lekin doodh ke rishte se jo Aap ke maa baap the woh zinda the.Woh jab Aap ke paas aate to aap un ki taazim ke liye khade ho jaate aur un ke baithne ke liye apni paak chaadar bichha dete aur un ki zarurato ko puri farmate the.Ek martaba sakht Qahat saali hui to aap ne apni doodh ke rishte se lagne wali maa hazrat-e-Halima radhi allaho anha ko 40 bakriya aur ek oont ata farmaya.(Ziyaunn Nabi,Vol:2,Page No.93-94)
Aap ﷺ ne maa baap ke baare me bahut kuchh farmaya jin par amal kiye begair koi beta kaamyab nahi ho sakta.Yahan par is ke baare me Aap ﷺ ki kuchh baaten pesh ki jaati hain.Padhye aur amal kijiye.
1:Aap ﷺ ne farmaya ki:Maa baap ki baat nahi maan ne wale shakhs ki taraf Allah ta’ala qayamat ke din rahmat ki nazar nahi farmaega aur woh jahannam me jaaega.(Sunan Nisa’ee,Hadis No.2562)
2:Aap ﷺ ne irshad farmaya ki :Sab gunahon ki saza Allah ta'ala chaahe to Qayamat tak taal deta hai magar maan baap ki naa'farmabardai ki saza marne se pehle dunya hi me deta hai.(Sahi Muslim,Hadith No.2551)
3:Aap ﷺ ne farmaya ki:Sab se bada gunah Allah ke saath kisi ko sharik karna,Maa baap ki naafarmani karna,Jhoti gawahi dena aur jhoot bolna hai.(Tirmizi,Hadis No.1901)
4:Aap ﷺ ne farmaya ki:Jab aulad apne maa baap ki taraf mohabbat se dekhta hai to Allah Ta’ala us ke har nazar ke badle use ek maqbool haj ka sawab ata fermata hai.Sahaba ne arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ ! Agar koi ek hi din me 100 baar dekhe to kiya use 100 haj ka sawab milega?To ﷺ ne farmaya ki:Haan.Allah Ta’ala bada hai aur bahut dene wala hai.(Shoabul Imaan,Hadis No.7472)
5:Hazrat-e-Moaawiya bin jaahima radhi allaho anho bayan karte hain ki main huzur ﷺ ke paas gaya aur jihaad me jaane ki ijazat maangi to huzur ﷺ ne mujh se puchha ki:Kiya tumhari maa zinda hai?Main ne kaha ki Haan.To Aap ﷺ ne farmaya ki jaao un ki taazim aur khidmat karo aur us se chimte raho kyunki jannat uske qadmo ke paas hai.(Shoabul Imaan,Hadis No.7448)
6:Hazrat-e-Abu Usaid Saaedi radhi allaho anho bayan karte hai ki Ham log Huzur ﷺ ke paas baithe hue the ki qabila bani salma ka ek shakhs aaya aur arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ !Mere maa baap inteqal kar chuke hain.To kiya ab bhi un ke saath ehsaan karne ka koi tariqa hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Haan.Un ke liye dua aur istigfaar karo aur unhone jo ahad kiya tha use pura karo aur jis rishte wale ke saath unhi ki wajah se achhchha sulook kiya jaa sakta ho un ke saath achhchha sulook karo aur un ke dosto ki izzat karo.(Abu Dawood,Hadis No.5142.Al-Mustadrak,Hadis No.7260)
Yaad rakhen! Huzur ﷺ ki in paakiza taalim par amal kiye begair koi aulad khush haal nahi rah sakti.Kyunki Huzur ne bataya ki Maa baap ki khushi me Allah ki khushi hai aur un ki naraazgi me Allah ki naraazgi hai.(Tirmizi,Hadis No.1899.Shoabul Imaan,Hadis No.7446)
Share.........




Related Topics



Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran