Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Har jagah par kuchh garib,faqeer,be sahara log rahte hain jin ko logo ki madad aur sahaare ki zarurat hoti hai.Huzur ﷺ ne khud aise logo ki zindagi bhar madad farmaya aur apne paas aane wale kisi be sahaara ko khaali waapas nahi hone diya.Jaisa ki Hazrat-e-Jaabir bin Abdullah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Aisa kabhi nahi hua ki ki Rasoolalla Sallallaho alaihe wasallam se kisi ne kuchh maanga ho aur aap ne “Nahi” farmaya ho.(Sahi Muslim,Hadis No.2311)
Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki ek shakhs ne huzur Sallallaho alaihe wasallam se do pahaadon ke bich me char rahi tamaam bakriya maangi to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne use de diya.Woh shakhs apni qaum ke paas aaya aur kaha:Aye meri Qaum ke logo!Islam le aao kyunki Muhammad (ﷺ) itna dete hain ki phir kisi garibi aur faqeeri ka koi dar nahi rahta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2312)
Isi tarah Hazrat-e-Khadija radhi allaho anha aap ﷺki aadato ka zikr karte hue farmayi ki:Ya Rasoolallah ﷺ !Beshak Aap rishtedaaro ke saath achhchha sulook karte hain.Logo ka bojh uthaate hain.Apni kamaai se bewao,yatimo aur garibo ki madad farmate hain.Mehmano ki mehman nawazi karte hain.Aur agar kisi par musibat aa jaae to uski madad karte hain aur mushkil haalaat me bhi haq ka saath dete hain. (Sahi Bukhari,Hadis No.3)
Yahan tak ki Huzur ﷺ ne aise tamaam logo ki zimmedari apne upar le liya tha jo qarz ki haalat me inteqaal kar jaate aur apne pichhe apni bewa aur yatim bachche chhor jaate.Jaisa ki ek hadis me hai ki:Huzur ﷺ ne farmaya ki jo tum me se inteqaal kar jaae aur maal chhore to woh us ke waariso ka hai aur jo qarz,bewa aur yatim chhore woh sab mere zimme hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.5371)
Is tarah se aap ne logo ki madad farmaya aur apni ummat ko bhi is ke karne par ubhara.Yahan par is ke baare me Aap ﷺ ki kuchh hadisein pesh ki jaati hain.
(1)Aap ﷺ ne irshad farmaya ki:Bewao aur miskino ke liye koshish karne wala Allah ke raaste me jihaad karne wale ki tarah hai.Ya us shakhs ki tarah hai jo din me roza rakhta hai aur raat ko jaag kar ibaadat karta hai.(Yani bewao aur miskino ke liye koshish karne wale ko waise hi sawab diya jaata hai jaise un logo ko).(Sahi Bukhari,Hadis No.6006.6007)
(2) Aap ﷺ ne irshad farmaya ki: Yatim ki parwarish karne wala mere saath jannat me jaaega.(Sahi Bukhari,Hadis No.6005)
(3)Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne farmaya ki:Jo shakhs apne kisi musalman bhai ke kaam ke silsile me chalta hai yahan tak ki use pura kar deta hai.Allah Ta’ala us par 5000 (aur dusri hadis me hai ki)75000 farishto ka saaya kar deta hai.Woh farishte us ke liye agar din ho to raat hone tak aur raat ho to din hone tak duayen karte rahte hain aur us par rahmat bhejte rahte hain.Aur us ke uthne wale har qadam ke badle us ke liye nekiya likhi jaati hain aur us ke rakhne wale har qadam ke badle us ke gunah mitaae jaate hain.(Shoabul Imaan,Hadis No.7669.Al-Mujamul Ausat Lil Tabrani,Hadis No.4396)
(4) Hazrat e Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ki: Raoolallah sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo shakhs kisi musalman ki koi dunyawi takleef dur karega Allah ta’al uski qayamat ke din ki mushkilaat me se koi mushkil door farmaega,jo shaks duniya me kisi tangdast ke liye aasani paida karega Allah ta’ala duniya aur akhirat me uske liye aasani paida farmaega,aur jo shakhs duniya me kisi musalman ki parda poshi karega Allah ta’al duniya aur akhirat me uski parda poshi farmaega.Allah ta’ala apne bande ki madad karta rahta hai jab tak banda apne bhai ki madad me laga rahta hai.(Muslim, hadis No.2699,Tirmizi, hadis No.1425)
Is ke elawah Aap ﷺ ne apni ummat ke garibo aur faqiro ke liye zakat aur sadqaat ki surat me aisa behtarin system diya jis par amal karne ke baad musalmano me kisi garib ka nazar aana bahut hi mushkil hai.Magar Afsoos! Is par amal nahi hone ya galat tariqe se amal hone ki wajah se aaj sab se ziyadah garib aur faqir musalmano hi me nazar aate hain.Balki najaane kitne log garibi ki wajah se apna imaan bhi bech rahe hain.Kaash ki hamare bhai log kuchh sochte aur is ki taraf tawajjuh dete.Aur jin logo ko Allah Ta’ala ne apne fazal se maal daar banaya hai aur bahut saari daulat se nawaza hai uske baad bhi woh log aise zarurat mand logo ke liye kharch nahi karte hain un logo ko Quran sharif ki in aayato ko gaur se padhna chahiye aur apne anjaam ki fikr karni chaahiye.
Allah ta’ala aise logo ke mutalliq qayamat ke din hukm dega : usko pakar lo,uski gardan me tauq daal do,phir use bharakti aag me phenkh do ,phir use sattar(70) gaz zanjeer me jakar lo, ye(bad bakht) khuda wande azeem par imaan nahi laaya tha aur nahi woh garibo ki khoraak mohyya karne ki targeeb deta tha”.(Surah Al-haqqah,Aayat No.30 se 34)
Aur Quran shareef me hai ki(jannati jahannamiyo se puchenge) kis gunah ki wajah se tum jahannam me pahuche?woh jawab denga. Hum namaz nahi padhte the aur na miskino ko khana khilate the.(Surah Mudassir,Aayat No.43.44)
Allah ta’ala irshad farmata hai ki:Neki bus yahi nahi ke namaz me tum apna rukh mashriq aur magrib ki taraf pher lo,balke neki ka kamaal to ye hai ke koi shakhs imaan laae Allah par aur qayamat ke din par,farishto aur kitab par aur sab nabiyo par aur apna maal Allah ta’ala ki mohabbat ki wajah se rishtadaro,yateemo, miskino,musafiro aur maangne walo ko de aur gulamo ko azaad karae.(surah Baqra, Aayat No.177)
Aur farmaya ki: Tum neki ko paa nahi sakte jab tak woh chiz(Allah ke raste me) na kharch karo jis se tum khud mohabbat karte ho.(surah nisa)
Isliye humme se har ek ko chahiye apni taaqt bhar majburon ki madad kare. Aur unke liye kuchh bhi na karne ki taaqat ho to kam se kam unke saath narmi aur mohabbat ke saath baat hi kare.kyunki Huzur sallallhu alaihe wasallam ne farmaya ki ye bhi sadqa hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.6023)
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran