padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Apne padosiyo ko apne fitne aur bura’ee se mehfuz rakhna,unki izzat-o-aabru ka khayal rakhna ,takleef o musibat me ek dusre ke kaam aana har padosi ka akhlaaqi aur deeni fariza hai aur hasbe taufeeq unki madad karna rehmat e ilahi ke husool ka zariya hai.Aap ﷺ ne khud zindagi bhar apne padosiyo ke haq ko ada farmaya aur apni ummat ko bhi yahi taalim diya.Aur un ke saath galat sulook karne ke anjaam se daraya.Yahan par padosi ke baare me Aap ﷺ ki kuchh baaten pesh ki jaati hain.
(1)Aap sallallaho alaihe asallam ne farmaya ki: woh jannat me nahi jaaega jo apne padosi ko taklif pahuchata hai.(Muslim hadis No.46)
(2) Aap sallallaho alaihe wasllam ne irshad faramaya ki: woh Momin nahi jo khud pet bhar ke khaae aur uska padosi uske bagal me bhuka rahe. (Al-Mustadrak hadis No.7307).
(3)Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Allah ke nazdeek saathiyo me woh behtar hai jo apne saathi ka khair khaah ho aur padosiyo me Allah ke nazdeek woh behtar hai jo apne padosi ka khair khaah ho.(Tirmizi,hadis No.1944)
(4)Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo ye pasand karta ho ke Allah aur uske Rasool us se mohabbat kare to use chahiye ke woh sach bole, amanat ada kare aur apne padosiyo ko takleef na pahuchaae.(Sh’abul imaan, hadis No.9104)
(5) Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo Allah aur qayamat ke din par imaan rakhta hai to use chahiye ki woh apne padosi ko taklif nahi de aur uski izzat kare aur us ke saath achhchha sulook kare.(Sahi Bukhari,Hadis No.6018.Sahi Muslim,Hadis No.47)
(6) Hazrat e Abu huraira radhi allaho anho se riwayat hai ki : Ek shaks ne arz kiya Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ! falan aurat ke bare me bataya jata hai ki namaz,roza aur sadqa bahut karti hai magar ye baat bhi hai ki woh apne padosiyon ko takleef bhi pahuchati hai. Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki : woh jahannam me hai. Unhone kaha: Ya Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam! Aur falaan aurat ke baare me kaha jata hai ki: Us ke namaaz,roza aur sadqa me kami hai (yani woh farz namaz ke ilawah nafli namaz wagairah ziyadah nahi padhti hai) magar woh paneer ke tukde sadqa karti hai aur apne zubaan se padosiyo ko takleef nahi deti hai.Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya: woh jannat me hai.(Al mustadrak,Hadis No. 7304. Shu’bul imaan hadis No.9098)
(7) Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Apne padosi ki aurat ke saath zina karne ka gunah dusri 10 aurato ke saath zina karne se badh kar hai aur apne padosi ke ghar chori karne ka gunah dusre 10 ghar me chori karne se badh kar hai.(Shoabul Imaan,Hadis No.9105)
Huzur ﷺ ki taalim par amal karne wala hi sachcha musalman hai.Is liye ham sab ko chahiye ki huzur ki in paakiza taalimaat par amal kare.Allah Ta’ala ham sab ko nekiyo ki taufeeq ata farmaae.Ameen
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran