Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Aap sallallaho alaihe wasallam ne khud tijaarat kar ke maal-o-daulat kamaya aur apni ummat ko bhi is baat par ubhara ki woh bhi mehnat-o-mazduri kar ke aur dusre jaa'iz tariqe se maal-o-daulat hasil kare taaki unhe dusron ke saamne haath phailane ki zillat-o-ruswai na uthana pare.Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki be-shak Allah ta'ala Mehnat aur mazdoori karne wale bande ko pasand fermata hai.(Tabrani)
Lekin Aap sallallaho alaihe wasallam ne business men ke liye bahut saari hidayat bhi farmaya jis par amal karna har musalmaan ke liye zaruri hai.Aap sallallaho alaihe wasallam ne business men ke liye jo hidayaten farmaya un me khaas taur se jhoot bol kar aur dhoka de kar apna maal bechne se mana farmaya aur sach'che aur amaanat daar business men ke bare me farmaya ki woh Qayamat ke din Nabi'yon ke saath rahega.(Tirmizi,Hadith No.1209)
Hazrat-e-Hakim bin Huzaam radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki kharidne aur bechne wale agar dono sach'chayi ekhtiyar karte hain aur har baat khol khol kar bata dete hain to un ke kharidne aur bechne me barkat hoti hai aur agar kuchh chhupate hain ya jhoot bolte hain to un ki kharidaari aur bikri ki barkat khatam kar di jaati hai.(Sahi bukhari,Hadith No.2082)
Aap sallallaho alaihe wasallam ne ek baar irshad farmaya ki har musalman ek dusre ka bhai hai to tum apne bhai se aisi chiz na becho jis me aib(fault) ho magar us ko bata kar.(Ibn-e-Majah,Hadith No.2246)
Hazrat-e-Abu'huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ek shakhs ke pass se guzre jo anaaj(wheat) bech raha tha. Aap sallallaho alaihe wasallam ne us se puchha ki tum anaaj kaise bech rahe ho? To us ne bataya.Phir Aap par wahi naazil hui ki Aap apna haath us ke anaaj ke andar daale to huzur ne apna haath us ke anaaj ke dher ke andar daala to woh andar se bhiga huwa tha to Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki jo shakhs logon ko dhoka de who ham me se nahi hai.(Sunan Abu'dawood,Hadith No.3452)
Is liye ham musalmano ko chahiye ki kaar-o-baar karne me kisi ko dhoka na de aur jhoot na bole aur apna maal bechte waqt Qasam bhi khane se parhez kare kyunki Huzur ne farmaya ki Qasam khane se maal to bik jaata hai lekin barkat khatam ho jaati hai.(Sahi bukhari,Hadith No.2087)
Aur Aap ﷺ ne jhooti qasam kha kar maal bechne ko to sakhti ke saath mana farmaya.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:3 shakhso ki taraf Allah Ta’ala Qayamat ke din rahmat ki nazar nahi farmaaega aur nahi us se kalaam karega aur nahi use paak karega.Sahaba ne puchha ki Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Woh 3 log kaun hain?To Aap ne farmaya ki (1) Takabbur se takhne ke niche kapde latkaane wala.(2) Kisi ko kuchh de kar ehsaan jatlaane wala.(3) aur jhooti qasam khaa kar apna maal bechne wala.(Sahi Muslim,Hadis No.106)
Bazaar ( market) me hamari dukaan ke saath aur bhi logon ki dukaane hoti hain aisi surat me hame dusre ke kaar-o-baar me dakhal andaazi nahi karni chahiye, kyunki is se dusaron ko taklif aur nuqsaan hota hai aur ek musalman ki shaan ye nahi hoti ki who apni zaat se dusron ko taklif aur nuqsaan pahunchaye isi liye huzur ne is se mana farmaya.Aap sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki koi bhi shakhs apne bhai ke kharidne aur bechne me dakhal andaazi na kare. (Yani jab ek admi Qimat tay kar raha ho to dusra admi customer ko apni taraf lubhane ke liye us se kam Qimat na bole. (Sahi Bukhari, hadith No.2139)
Isi tarah jab ek admi koi chiz kharid raha ho to dusra aadmi maalik se ye na bole ki main tum ko is se ziyadah Qimat de raha hun yeh maal mujhe de do Ye galat tariqa hai Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki tum me se koi bhi shakhs apne bhai ke kharidaari par kharidaari na kare (jab tak ki Haan ya na me pahle shakhs se baat mukammal na ho jaaye) (Sahi bukhari,Hadith No.5142. Sahi Muslim,Hadith No. 1412 )
Hame saamaan wagairah bechte waqt naap taul me kami bhi nahi karni chahiye ki Huzur ne is baat se sakhti ke saath roka hai, balke hame imaan'daari aur narmi ke saath kaam karna chahiye ki is se hamare business me bhi taraqqi hogi aur Allah aur us ke Rasool bhi ham se khush honge.Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Allah ta'ala us bande par raham farmaye jo kharidte waqt aur bechte waqt aur taqaza karte waqt fayyazi aur narmi se kaam leta hai.(Sahi bukhari,Hadith No.2076)
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran