Ek achhchha malik hone ki haisiyat se hamara apne khidmat karne wale aur nokaro ke saath kaisa sulook hona chahiye?Is baare me Nabi kareem ﷺ ki seerat puri dunya ke liye sab se behtarin namuna hai.
Aap ﷺ ka apne khaadimo ke saath sulook:Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Main 10 saal tak Aap ﷺ ki khidmat me raha.Allah ki Qasam!Aap ne kabhi mujhe uff tak nahi kaha.Aur nahi kabhi ye kaha ki tum ne falan kaam kyun nahi kiya ya falan kaam kyun kiya?(Sahi Muslim,Hadis No.2309)
Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Huzur ﷺ ne jehaad ke elawah kabhi kisi ko apne haath se nahi maara,Nahi kisi nokar ko maara aur nahi kisi aurat ko.(Shamaail-e-Tirmizi,Page No.596)
Huzur ﷺ apne gulamo aur khaadimo ke saath kaisi mohabbat aur shafqat farmate the.Us ka andaaza hazrate Zaid ke waqiye se lagaaya jaa sakta hai ki Hazrat-e-Zaid bachpane hi me apne maa baap se bichhad gaye aur gulam ki surat me Huzur ke darbaar tak pahuche.Ek zamaane tak un ke maa baap apne bete Zaid ki judaai me rote rahe aur un ko talaash karte rahe.Aakhir me jab un ko maloom hua ki un ka beta Zaid Makka me hai.To apne bete ko wapas laane ke liye ur kar Makka pahuche aur huzur se kaha ki aap jitna bhi rupiya paisa lena chaahte hain le lijiye aur hame hamara beta de dijiye.To Aap ﷺ ne farmaya ki Mujhe rupiyo ki zarurat nahi. Haan!Main ye chaahta hun ki Zaid ko ekhtiyar do agar woh aap ke saath jaana chaahe to hame koi eteraaz nahi aur agar woh hamaare saath rahna chaahe to us par zabardasti nahi karna.Phir Hazrat-e-Zaid ko ekhtiyar diya gaya ki agar chaaho to apne walid ke saath apne ghar chale jaao aur chaaho to yahi raho.To un hone begair kisi jhijhak ke kaha:Ya Rasoolallah ﷺ !Main aap ko chhor kar aur kahein jaane ke liye soch bhi nahi sakta.Aap hi mere baap hai aur aap hi mere chacha hain.Is par un ke walid ne kaha Aye Zaid!Tum par afsos hai.Tum azaadi ke bajaae gulami ko aur apne maa baap ke saath rahne ke bajaae in ke saath rahna pasand karte ho.Tumhein kiya ho gaya hai. To Hazrat-e-Zaid ne farmaya:Aye mere baap!Dunya me in se ziyadah mohabbat aur piyar dene wala koi nahi.Main inhe chhor kar kahein aur jaane ke baare me soch bhi nahi sakta.(Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.158-159)
Gulamo,Nokaro aur mazduro ke baare me Aap ﷺ ki hidayat:
Jis tarah Aap ﷺ ne khud apne gulamo aur khadimo ko saath achhchha sulook kiya usi tarah apni ummat ko bhi is ki hidayat farmaya.
(1)Aap ﷺ ne farmaya ki:Tumhari khidmat karne wale tumhare bhai hain.Jinhe Allah Ta’ala ne tumhare niche kar diya hai.To har woh shakhs jis ke niche us ka bhai ho use wahi khilaae jo khud khaata hai aur use waisa hi pahnaae jaisa khud pahanta hai.Aur us par kaamo ka itna ziyadah bojh nahi daale ki woh nahi kar sake aur agar daale to us ke kaam me madad kare.(Tirmizi,Hadis No.1945)
(2) Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Ek shakhs Huzur ﷺ ke paas aaya aur arz kiya:Ya Rasoolallah ﷺ ! Main apne khaadim ko kitni baar maaf karon? To Aap ﷺ khamush rahe.Phir unhone kaha: Ya Rasoolallah ﷺ ! Main apne khaadim ko kitni baar maaf karon? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Har din 70 baar.(Tirmizi,Hadis No.1949)
(3)Hazrat-e-Abu Bakar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Bad kirdaar maalik jannat me nahi jaaega. (Tirmizi,Hadis No.1946)
(4) Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Mazduro ko pasina sokhne se pahle uski mazduri de do.(Ibn-e-Maajah,Hadis No.2443)
(5)Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:3 tarah ke logo ke khilaaf qayamat ke din main khud ladonga.Ek to woh shakhs jis ne mera naam le kar kisi ko kisi baat ka yaqin dilaaya aur jab us ne mere naam ki wajah se yaqin kar liya to us ne dhoka de diya.Dusra woh shakhs jis ne kisi azaad admi ko bech kar us ki qimat khaa liya.Tisara woh shakhs jis ne kisi ko mazduri par rakha,Phir kaam to pura liya lekin uski mazduri nahi diya.(Sahi Bukhari,Hadis No.2270.Ibne Maajah,Hadis No.2442)
Share.........
Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ