Dil Ke Bimar Ka Roza



Sawal:Roze ki haalat me dil ke bimar ka zuban ke niche Tikya rakhne se roza tootega ya nahi?
Jawab:Tahqeeq ke baad ye baat saamne aayi ki woh Tikya mnh me ghulte hi thook se mil jaati hai aur thook halq se niche utarne par dawa ka maza bhi halq me mehsoos hota hai.Is liye fatwa ye hai ki roza ki haalat me kisi ne is tarah ki tikya zuban ke niche rakha aur kuchh dawa ghulne ke baad thook nigal gaya to roza toot jaaega. Iski tarjamaani Bahar-e-Shari’at me is tarah se hai: “ Shakar wagairah aisi chizen jo munh me rakhne se ghul jaati hain,Kisi ne munh me rakha aur thook nigal gaya to roza jaata raha.[Bahar-e-Shari’at,Hissa 5,Page No.986]
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Roza ki haalat me tooth paste karna kaisa hai? Roza ki haalat me blod test karaane ka hukm Roza me glucose ya insulin lena kaisa hai? Be-hoshi se roza toot-ta hai ya nahi? Jaan bojh kar roza nahi rakhne aur rakh kar tor dene wale ka hukm Saum-e-Dawoodi kise kahte hain? Roze ki haalat me daant ukhar-waane ka mas'ala Iftaar ki dua kab padhi jaae?



Dawat-E-Quran