Sawal:Kya roza jaan bojh kar nahi rakhne aur rakh kar tor dene wale ka hukm ek hai?
Jawab:(1) Ramzan ka roza begair kisi majburi ke jaan bojh kar chhor dena badi mahroomi ki baat hai aur ye bada gunaah hai.Iski qaza karna zaruri hai lekin is me kaffarah nahi hai.(2) Aur jaan bojh kar torne ki surat me qaza ke saath kaffarah bhi laazim hoga.Kaffarah ye hai ki 2 mahine laga-taar roze rakhe aur agar iski taaqat nahi ho to 60 miskino ko do waqt pet bhar kar khaana khilaaye ya ek hi gareeb ko 60 din tak do waqt khaana khilaaye.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
.
Share........
Roza ki haalat me tooth paste karna kaisa hai? Roza ki haalat me blod test karaane ka hukm Roza me glucose ya insulin lena kaisa hai? Be-hoshi se roza toot-ta hai ya nahi? Saum-e-Dawoodi kise kahte hain? Roze ki haalat me daant ukhar-waane ka mas'ala Dil ke bimar ka roza Iftaar ki dua kab padhi jaae?