Roze Ki Haalat Me Daant Ukhar-waane Ka Mas'ala



Sawal:Roze ki haalat me R.C.T karaana,Daant ukhar-waana daanto ki islaah karaana kaisa hai?
Jawab:Daant ke mariz ko chaahiye ki raat me R.C.T karaaye,Daant ukhar-waaye ya is tarah ka aur koi elaaj karaaye.Ramzan ke dino me is tarah ke elaaj se bache is liye ki agar khoon ya dawa ka kuchh hissa bhi halq ke niche utar jaaega to roza toot jaaega.Haan,Agar ehtiyaat kare ki koi chiz halq ke niche nahi jaane paaye to roza nahi tootega,Lekin phir bhi aisa karna makrooh hoga kyunki roza tootne ka dar zarur hai.Fatawa Razwiya jild 4,Page No.614 me hai: “Miswak mutlaqan jaaiz hai agarche zawal ke baad ho aur manjan najaaiz-o-haraam nahi hai jab ki kaafi itminaan ho ki uska kuchh bhi halaq ke niche nahi jaaega.Magar is me dar zarur hota hai is liye begair kisi sahi majburi ke makrooh zarur hai”.
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Roza ki haalat me tooth paste karna kaisa hai? Roza ki haalat me blod test karaane ka hukm Roza me glucose ya insulin lena kaisa hai? Be-hoshi se roza toot-ta hai ya nahi? Jaan bojh kar roza nahi rakhne aur rakh kar tor dene wale ka hukm Saum-e-Dawoodi kise kahte hain? Dil ke bimar ka roza Iftaar ki dua kab padhi jaae?



Dawat-E-Quran