Roze Ki Haalat Me Glucose Ya Insulin Lena Kaisa Hai?



Sawal:Roze ki haalat me glucose ya insulin lena jaaiz hai ya nahi aur lene ki surat me roza tootega ya nahi?
Jawab:Fiqah ki kitaabo me ye saaf saaf likha hua hai ki agar koi aisa bimaar hai jo roza nahi rakh sakta ya roza rakhne se use nuqsaan hoga ya bimaari badh jaaegi ya der me achchha hoga aur is ki alaamat zaahir hai,To jitney din tak ye haalat rahe use ijaazat hai ki roza na rakhe aur sahi ho jaane ke baad uski qaza kare.Is surat me kaffarah laazim nahi hota hai.Allah Ta’ala ka farmaan hai: “ Tum me se jo koi Ramzan ka mahina paae to uske roze rakhe,Aur jo koi (un dino me) bimar ho ya safar me ho to itne roze aur dino me.Allah tum par asaani chaahta hai dushwaari nahi chaahta”.(Surah Baqra,Aayat No.185)
Is liye agar aisi surat-e-haal saamne ho jis me roza nahi rakhne ki ijaazat hai to roze ki haalat me glucose ya insulin lena ya jis dawa ki bhi zarurat ho uska istemaal karna bilkul jaaiz hoga,Aur is se roza toot jaaega aur uski qaza karna zaruri hoga,ye hukm us waqt hai jab ki glucose tablet ya syrup ya powder ho.Haan! injection se glucose ya insulin lene ki surat me roza nahi tootega,Is liye ki roza ko torne wala woh dawa ya giza hai jo manaafiz-e-Asliya ke zariye dimag ya me’da tak pahunche aur agar masamaat ke zariye pahunche to us se roza nahi toot-ta hai.[Maah-naama,Kanzul iman,April 2016]
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Roza ki haalat me tooth paste karna kaisa hai? Roza ki haalat me blod test karaane ka hukm Be-hoshi se roza toot-ta hai ya nahi? Jaan bojh kar roza nahi rakhne aur rakh kar tor dene wale ka hukm Saum-e-Dawoodi kise kahte hain? Roze ki haalat me daant ukhar-waane ka mas'ala Dil ke bimar ka roza Iftaar ki dua kab padhi jaae?



Dawat-E-Quran