Iftaar Ki Dua Kab Padhi Jaae?



Sawal:Roza iftaar karne ki dua iftaar karne se pahle padhni chaahiye ya baad me?
Jawab:Hadees sharif me iftaar ki do dua aayi hain:

« ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ »

Tarjama:Piyaas bujh gayi,Rage tar ho gayi aur ajar saabit ho gaya,In sha Allah.(Abu Dawood,Hadees No.2359)

« اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ »

Tarjama:Ya Allah! Main ne tere liye roza rakha aur tere diye hue rizq se iftaar kiya.(Abu Dawood,Hadees No.2360)
Pahli dua ke baare me ittefaaq hai ki woh baad me padhi jaae.Aur dusri dua bhi baad me padhni chaahiye jaisa ki Mulla Ali Qari Mishkaat ki sharh Mirqaat me farmaate hain:

ُکان اذا افطر قال] ای دعا۔وقال ابن الملک:ای قرأ بعد الافطار۔]

(Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ifataar karte to kahte)Yani dua karte.Aur ibnul malik ne kaha ki iska matlab ye hai ki iftaar ke baad ye dua padhte.(Miraqaat sharah Mishkaat,Jild 4,Page No.1387, Darul fikr bairoot)
Wallahu a’alamu bis-sawab.
. Share........




Related Topics



Roza ki haalat me tooth paste karna kaisa hai? Roza ki haalat me blod test karaane ka hukm Roza me glucose ya insulin lena kaisa hai? Be-hoshi se roza toot-ta hai ya nahi? Jaan bojh kar roza nahi rakhne aur rakh kar tor dene wale ka hukm Saum-e-Dawoodi kise kahte hain? Roze ki haalat me daant ukhar-waane ka mas'ala Dil ke bimar ka roza



Dawat-E-Quran