Sawal:Ek haaji Arfaat ke maidan me inteqaal kar gaya to kya baad me uski taraf se hajj-e-badal karna hoga?
Jawab:Uski taraf se haj nahi kiya jaaega kyunki us haaji ne apne zimma wajib ada kar diya.Huzur Sallallaho alaihe wasallam se jab aise shakhs ke baare me puchha gaya jiski ootni ne use gira kar uski gardan tor di thi,To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya “ Ise paani aur bairi ke patto se gusal do,Iski ehraam ki do kapdo me hi kafan do,Ise khushbo mat lagaao,Nahi iska sar dhaanpo,Kyunki Allah Ta’ala ise qayamat ke din talbiya yani Labbaik kahte hue uthaayega.” (Sahi Bukhari,Hadees No.1849) Aap Sallallaho alaihe wasallam ne ye hukm nahi diya ki iski taraf se haj mukammal karo.
Share........
Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?