Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna?



Sawal:Main is saal haj par gaya tha,Jab wapas aaya to kuchh dosto ne kaha ki Masjid-e-Nabwi me lagataar 40 namaz ada karni chaahiye tha.Jab ki main lagataar 40 namazen usme ada nahi kar paaya,Ab Sawal ye hai ki kya iski wajah se mere haj me koi kami to nahi hui?
Jawab:: Haj kuchh sharto ke saath kuchh arkaan ki adaaegi ka naam hai.Us me Masjid-e-Nabwi me namaz ada karna shaamil nahi hai. Is liye agar kisi ne haj ke saare arkaan achchhi tarah se ada kar liya to uska haj ada ho gaya.Sirf Masjid-e-Nabwi me 40 namaz ada nahi karne ki wajah se haj me koi kami nahi hogi. Haan, Hadees sharif me Masjid-e-Nabwi me lagataar 40 namaz ada karne par, Jahannam aur Nifaaq se azaadi ki basharat di gayi hai.Is liye har musalman ko chaahiye ki jab mauqa mile is fazilat ko haasil karne ki koshish kare.Aur ye bhi zehan me rakhe ki ye fazilat haj ke saath khaas nahi hai.balki jo koi bhi aur jab kabhi bhi 4o namaz padh lega use ye fazilat haasil ho jaaegi.
Share........




Related Topics



Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?



Dawat-E-Quran