Nabaalig Bachcha Agar Umrah Par Jaae To?



Sawal:Kya farmate hain ulmaa-e-kiram is baare me ki nabaalig bachcha agar Umrah par jaae to woh ehraam ki niyat kaise kare? Aur kya woh ehraam me sile hue kapde pahan sakta hai?
Jawab:: Nabaalig bachche do tarah ke hote hain.1: Samajh-daar jo paaki napaaki aur Deen-e-Islam ke baare me ilm rakhta ho.2: Naa-samajh jo upar zikr ki gayi baato ko nahi jaanta ho.
Agar bachcha samajh-daar aur aqalmand hai to ehraam ki niyat ke saath Talbiya (Labbayk……) woh khud hi apni zuban se kahega,Uski taraf se uska wali ehraam ki niyat nahi kar sakta.Aur Haj aur Umre me jo kaam karna parta hai woh sab bhi woh khud hi ada karega.Rami yani kankari maarna wagairah kuchh chizen chhor dene ki surat me us par kaffara nahi hai.Agar aisa samajh-daar bachcha haj ko faasid bhi kar de to us par qaza wajib nahi hai.
Aur agar bachcha naa-samajh hai to woh kaam jis me niyat zaruri hai uski taraf se uska wali yani baap ya bhai wagairah ehraam ki niyat kare aur Talbiya kahe.Niyat is tarah se kare “Ahramtu an fulaanin” yani main fulan ki taraf se ehraam baandhta hun.(Fulan ki jagah us bachche ka naam le) Is tarah Labbayk bhi bachche ki taraf se is tarah kahe “Labbayk an fulaanin” (Fulan ki jagah bachche ka naam le aur aakhir tak Labbayk padhe) Ye baat bhi zehan me rakhe ki niyat dil ke iraade ka naam hai,Is liye agar zuban se nahi bhi kaha to koi harj nahi hai.Lekin Labbayk zuban se kahna zaruri hai woh bhi kam se kam itni awaaz se kahe ki woh khud sun le.
Ehraam ki haalat me nabaalig bachcha chaahe samajh-daar hoy a nahi ho,Dono ko sile hue kapde nahi pahnana chaahiye,Use bhi ehraam ke kapde chaadar aur tahband pahnaaye.Aur unhe bhi un baato se roke jo ehraam ki haalat me jaaiz nahi hai.Haan, Ye baat alag hai ki sile hue kapde pahan lene se nabaalig bachche par dam laazim nahi hoga.
Share........




Related Topics



Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?



Dawat-E-Quran