Sawal:Kya Hajj-e-Badal karne wale ka farz haj ada ho jaata hai ya jab usme haj ki sharten paayi jaaengi to phir se haj karna hoga?
Jawab:Hajj-e-Badal karne wale ka apna farz haj ada nahi hota, Balki jis ki taraf se hajj-e-badal kiya jaa raha ho,Usi ka haj ada hoga.Ye mas’ala bhi yaad rakhe ki jis shakhs par apna haj farz ho use hajj-e-badal par bhejna makrooh-e-tahrimi Aur najaaiz hai, Uske liye hukm ye hai ki woh shakhs dusre ki taraf se hajj-e-badal karne ke bajaae apna farz haj ada kare. Is liye behtar ye hai ki aise shakhs ko hajj-e-badal ke liye bheja jaae jis ne apna farz haj ada kar liya ho.Aur aise shakhs ko bhi bhejna jaaiz hai jis par abhi haj farz hi nahi hua.Lekin aise shakhs ke paas jab haj ki taaqat ho jaae to uspar haj farz hoga.
Share........
Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare?