Sawal:Main is saal Hajj-e-Tamattu ki niyat se gaya tha,Lekin jab main ne umrah ada kar liya to mujhe apne ghutne me sakht takleef ho gayi jis ki wajah se main chal phir bhi nahi sakta tha,Main ne Doctor se contact kiya to usne mujhe haj nahi karne ki nasihat ki,Is par main wapas aa gaya aur haj nahi kiya,To kya mujh par dam dena wajib hoga?
Jawab:Agar haqiqat me maamla wahi hai jo sawal me bayan kiya gaya hai ki aap ne umrah mukammal kar ke ehraam khol diya aur phir haj ka ehraam baandhne se pahle hi wapas apne elaaqe me aa gaye to aap par kuchh bhi nahi hai.Kyunki umrah ada karne ke baad ehraam kholne se aap halal hog aye,Aur haj ke liye aap ne ehraam baandha he nahi tha.Allah hi amal ki taufeeq dene wala hai.
Share........
Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?