Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai?



Sawal:Ham kuchh log mil kar cometti daal rahe hai.Tariqa wahi jo aam taur par monthly cometti daali jaati hai.Maqsad ye hai ki jis ki cometti khulegi,Woh is raqam se haj ya umrah ada karega.Maloom ye karna hai ki jis ki cometti khulegi,woh is raqam se haj ya umrah ada kar sakta hai? Jab ki usne apni puri cometti ada nahi kiya hai,Jo ki us par qarz hai,To kya woh is raqam se haj ya umrah ada karega to uska haj ya umrah qabool hoga?
Jawab:: puchhi gayi surat me cometti ki raqam se haj ya umrah ke liye jaana bilkul jaaiz hai,Isme koi harj nahi,Haj aur umrah ada ho jaaega.
Yaad rahe! Jis par kisi ka qarz ho,Agar woh haj ya umrah ke liye jaae aur woh us waqt qarz ada nahi kar sake to qarz dene wale se ijazat le kar jaane ka hukm hai.Unki ijazat ke begair chale jaana makrooh hai.Magar haj aur umrah phir bhi ada ho jaaega.Bayan ki gayi surat me qarz dene walo ki taraf se ijazat hai,kyunki sab isi maqsad se cometti daal rahe hain.
Share........




Related Topics



Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?



Dawat-E-Quran