Sawal:Kya farmate hain muftiyan-e-kiram is mas’ale ke baare me ki Haj ya Umrah me jo dam wajib hota hai,Woh agar koi shakhs jaanwar le kar zinda hi kisi faqeer ko de de to kya is se dam pura ho jaaega?
Jawab:: Haj ya Umrah me jahaan Dam ka zikr hai,to us se muraad jaanwar ko haram ke had ke andar zibah karna hai.Is liye us jaanwar ki qurbani hona hi zaruri hai,Zinda jaanwar sadqa karne se dam ada nahi hoga.Aur ye haram ke had ke andar hoga tabhi hoga, Nahi to kaafi nahi hoga.
Share........
Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?