4 din me Haiz band ho gaya,Umrah kiya phir khoon aa gaya to?



Sawal: Ek aurat ki haiz me 4 din ki aadat thi,Usne 4 din ke baad gusal kar ke umrah kiya.Jis waqt umrah ki niyat kiya us waqt paaki ka yaqeen tha lekin umrah karne ke baad dobarah khoon aa gaya to ab woh kiya kare?
Jawab:Haiz ki aadat 10 din se kam ki ho,jaise 5 din ya 7 din aur aadat ke mutaabiq khoon band ho gaya phir 8wi din khoon dobarah aaya aur 10 din se pahle ya 10 din ke mukammal hone par khoon aana band ho gaya to ye pura din haiz ka maana jaaega.Haiz ki haalat me namaz maaf hai,Aur Tawaf ke elawah dusre kaamo ki ijaazat hai.Is liye puchhi gayi surat me Tawaf dobaarah karna zaruri hoga jab tak Makkah sharif me rahe,Nahi to dam dena hoga.Kyunki tawaf me paaki wajib hai aur safa marwah ki sa’ee me mustahab hai.Uske liye ziyadah behtar ye hai ki tawaaf ke saath sa’ee bhi dobaarah kar len.
Wallahu A’lamu Bis-sawab.
Share........




Related Topics



Agar Koi Haji Arfaat Me Inteqal Kar Jaae To? Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?



Dawat-E-Quran