Hire Jawaahir Par Zakaat



Sawal:Kya here jawaharaat par bhi zakaat farz hai?
Jawab:Zakaat sirf 3 tarah ke maalo par wajib hoti hai.(1) Saman par chaahe woh paidaa-eshi ho jaise sona aur chaandi,Ya istelaahi ho jaise rupiye paise.(2) Maal-e-Tijarat par.(3)Charaayi ke jaanwar par. Inke elawah kisi chiz par zakaat nahi. Aisa hi Fatawa Razwiya Jild 4 Page 448 me hai.Aur Bahar-e-Shari’at me hai ki: Moti aur jawaahar par zakaat wajib nahi agarche hazaaron ke hon,Haan agar tijaarat ki niyat se liye to zakaat wajib hogi.[Bahar-e-Shari’at,Jild 1,Hissa 5,Page 883]
Khulaasa ye hai ki agar hire tijaarat ki niyat se ho to us par zakaat wajib hogi warnah nahi.
Share........




Related Topics



Provident Fund Par Zakaat Ka Hukm Security Ki Raqam Ki Zakaat Advance Kiraaye Ki Zakaat Tijaarati Complex aur ShowRoom Ke Samaan Par Zakat Flats Aur Zameen Ki Zakaat Zakaat Ki Niyat Se Qarz Maaf Karna Kaisa Hai? Zakaat Ka Paisa Masjid Me Lagaana?



Dawat-E-Quran