Sawal:Tijaarati Complex aur ShowRoom ke samaan par zakat ka kya hukm hai?
Jawab:Hadees sharif hai:
Hazrat Samurah bin Jundub radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam hame us samaan ki zakat nikaalne ka hukm farmaate jis ko ham tijaarat ke liye tayyar karte the.[Abu Dawood,Hadees No.1564]
Is hadees sharif se maloom hua ki jo chizen bhi tijaarat ke maqsad se hai us par zakat hai.ShowRoom me jo kapde,Gaariya aur dusri chizen hoti hain zaahir hai ki woh tijaarat hi ke maqsad se hoti hai is liye agar unki qimat nisaab ki miqdaar ko pahunchti hai aur saal guzar jaae to un par zakat wajib hogi.
Share........
Provident Fund Par Zakaat Ka Hukm Security Ki Raqam Ki Zakaat Advance Kiraaye Ki Zakaat Flats Aur Zameen Ki Zakaat Zakaat Ki Niyat Se Qarz Maaf Karna Kaisa Hai? Hire Aur Jawaheraat Par Zakaat Zakaat Ka Paisa Masjid Me Lagaana?