Kya Qarz Maaf Karne Se Zakaat Ada Ho Jaaegi?



Sawal:Maine ek shakhs ko qarz diya hai,Woh itne tang-dast hai ki raqam ada nahi kar sakte. Mujh par zakaat wajib hai,Main chaahta hun ki zakaat ki niyat kar ke unke qarz ko maaf kar dun.Agar main aisa karun to kya meri taraf se maal ki zakaat ada ho jaaegi?
Jawab:Agar qarz lene wala tang-dast aur muflis hai,Jis ki wajah se qarz dene wala uska qarz maaf karta hai, aur us se zakaat ki adaaegi ki niyat karta hai,to is tarah se maal ka zakaat ada karna sahih nahi hai.Haan ye surat jaaiz hai ki Qarz dene wala zakaat ki raqam apne maqrooz ko dede aur phir us se apni raqam wapas le le.Jaisa ki Durr-e-Mukhtar Vol:2 page 13 me hai:

واداء الدین عن العین و عن دین سیقبض لا یجوز و حیلۃ الجواز ان یعطی مدیونہ الفقیر زکوتہ ثم یاخذ ھا عن دینہ۔

Agar aap ka qarz-daar itna mohtaaj ho ki us se qarz ki adaaegi ki koi ummid nahi,To aap zakaat ki adaaegi ki niyat se qarz maaf karne ke bajaae unko zakaat ki raqam deden phir apni raqam wapas lelen.
Share........




Related Topics



Provident Fund Par Zakaat Ka Hukm Security Ki Raqam Ki Zakaat Advance Kiraaye Ki Zakaat Tijaarati Complex aur ShowRoom Ke Samaan Par Zakat Flats Aur Zameen Ki Zakaat Hire Aur Jawaheraat Par Zakaat Zakaat Ka Paisa Masjid Me Lagaana?



Dawat-E-Quran