Provident Fund Par Zakaat Ka Hukm



Sawal:Provident Fund kya hai,Aur is par zakat ka kya hukm hai?
Jawab:Sarkaari idaare aur dusri Companyio me staff ki salary se kuchh fisad ek usool ke tehat kaat liya jaata hai aur use staff ke account me mahfooz rakha jaata hai,Ise “Provident Fund” kaha jaata hai.Jab staff retire hote hain to jama hui raqam ke saath idaarah ki taraf se extra raqam di jaati hai.ab Us jama hui raqam aur extra raqam ki zakat staff ke zimme wajib rahegi ya nahi?
Is baare me ulma ke do qaul hain.Kuchh ka kahna hai ki provident fund me jo raqam staff ki salry se kaati jaati hai.Ye raqam unke qabza aur ekhtiyar me nahi rahti hai,is liye iski zakat wajib nahi.Aur kuchh ulma ka kahna ye hai ki iski zakat wajib hai kyunki staff us raqam ka maalik hai.Magar raqam un ke qabze me nahi hai is liye is waqt adaaegi un ke zimme me nahi.Lehaaza provident fund ki zakat is waqt ada kare ya raqam milne par guzre hue saalo ka hisaab kar ke ada kare. Dusara Qaul ziyadah ehtiyaat wala hai.Aur idaarah ki taraf se milne wali extra raqam par us waqt zakat hogi jab woh mile aur us par saal guzar jaae.
Share........




Related Topics



Security Ki Raqam Ki Zakaat Advance Kiraaye Ki Zakaat Tijaarati Complex aur ShowRoom Ke Samaan Par Zakat Flats Aur Zameen Ki Zakaat Zakaat Ki Niyat Se Qarz Maaf Karna Kaisa Hai? Hire Aur Jawaheraat Par Zakaat Zakaat Ka Paisa Masjid Me Lagaana?



Dawat-E-Quran