Zakaat Ki Raqam Masjid Me Lagaana



Sawal:Zakaat ka paisa kisi surat se masjid me lagaana jaaiz hai ya nahi?
Jawab:Zakaat ka paisa aise shakhs ko de diya jaae jiska zakaat lena jaaiz ho.Phir woh shakhs apni taraf se masjid me kharch kare ya kisi shakhs ko kharch karne ke liye de to is tarah se zakaat ka paisa masjid me lagaana jaaiz hai.Bahar-e-Shari’at me hai ki: Zakaat ka paisa mayyat ke kafan dafan ya masjid ki taamir me kharch nahi kar sakte ki kyunki is me faqeer ko maalik banana nahi paaya gaya(Jo zakaat ki adaaegi ke liye shart hai) aur agar in kaamo me kharch karna chaahe to uska tariqa ye hai ki faqeer ko maalik bana de aur phir woh kharch kare to sawab dono ko hoga.[Bahar-e-Shari’at, Hissa 5,Page No.24]
Share........




Related Topics



Provident Fund Par Zakaat Ka Hukm Security Ki Raqam Ki Zakaat Advance Kiraaye Ki Zakaat Tijaarati Complex aur ShowRoom Ke Samaan Par Zakat Flats Aur Zameen Ki Zakaat Zakaat Ki Niyat Se Qarz Maaf Karna Kaisa Hai? Hire Aur Jawaheraat Par Zakaat



Dawat-E-Quran