Sawal: Main Umrah karna chaahta hun, Main ne Bank se loan liya tha aur main uski Qist ada kar raha hun aur agle 7 saal tak mujhe ye loan ada karna hai.Aur main ne ek zameen kharidi hai jis ka baaqi paisa agle 5 mahine me dena hai.Sawal ye hain ki kya main in halaat me umrah kar sakta hun?
Jawab:Behtar to ye hain jis ke zimme qarz ho,Pahle woh apne saare qarzo ko ada kar de phir Umrah ke liye jaae.Lekin gar qarz ka aur zameen ki baaqi qimat ka fauri taur par mutaalba (demand) nahi hai aur asaani se ada kar dene ka intezaam bhi hai to Aap pahle bhi umrah ke liye jaa sakte hain.Shariyat ke etebaar se isme koi harj nahi hai. Aur Aap ne bank se agar sharyi zarurat aur sakht majburi ke begair loan liya hai to ye najaaiz aur gunaah ka kaam hua.Iske liye tauba aur istigfaar kare aur jald loan ada kar ke zimma faarig kare.
Share........
Haj Aur Umrah Dono Ki Niyat Kiya,Phir Sirf Umrah Kiya To? Cometti Ki Raqam Se Haj Karna Kaisa Hai? Kya Haji Ke Liye Masjid-e-Nabwi Me 40 Namaz Padhna Zaruri Hai? Dam Wajib Hone Ki Surat Me Zindah Janwar De Sakte Hain? Nabaalig Bachcha Ehraam Ki Niyat Kaise Kare? Kya Hajj-e-Badal Karne Wale Ka,Apna Farz Haj Ada Ho Jaata Hai?