Allah ta'ala irshad farmata hai ki:Aye iman walo! Jab tum Namaaz padhne ka iradah karo(Aur wazu na ho) To apne chehre aur kehniyon tak haath dho'o aur apne saron ka masah karo aur apne pairon ko takhno samet dho'o.[Surah Maa'idah,Aayat No.6]
Hadees:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jannat ki kunji namaz hai aur namaz ki kunji wazu hai.[Tirmizi,Hadees No.4]
Wazu Ki Fazilat: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab banda wazu karta hai aur apne dono haath dhota hai to uske gunaah uske haatho se jhar jaate hain,Jab who apna chehra dhota hai to uske gunaah uske chehre se jhar jaate hain aur jab apne haath dhota hai aur sar ka masah karta hai to uske gunaah haath aur sar se jhar jaate hain,Aur jab woh apne paaon dhota hai to uske gunaah uske paaon se jhar jaate hain.[Ibne Majah,Hadees No.283, Tirmizi,Hadees No.2]
Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho kahte hain ki: Arz kiya gaya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Aap apni ummat ke un logo ko qayamat ke din kaise pahchaanenge jink o Aap ne dekha nahi hai? Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Wazu ke asar ki wajah se unki peshaani,haath aur paaon safeed aur raushan honge.[Ibne Majah,Hadees No.284]
Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo wazu kare aur achchhi tarah kare phir ye dua padhe “Ash hadu allaa ilaha illallahu wahdahu laa sharika lahu wa ashadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasooluhu. Allahummaj ‘alni minattawwabeena waj’alni minal mutatahhireen.” to uske liye jannat ke aathon (8) darwaze khol diye jate hain, jisse chahe dakhil ho jaae. [Tirmizi,Hadees No.55]
Wazu ke fara'iz:wazu me 4 baaten farz hain.(1) Chehra dhona.Yani baal ke ugne ki jagah se le kar thori tak aur ek kaan ki lau se le kar dusri kaan ki lau tak.(2)Kehniyon samet dono haath dhona.(3) Chautha'ee sar ka masah karna.(4) Dono pair takhno samet dhona.
Mas'ala:Dhone ka matlab ye hai ki jis hisse ko dhue us ke har hisse par paani bah jaaye.Is liye agar kuchh hissa sirf bhig gaya lekin us par paani baha nahi to wazu nahi hoga.
Wazu Ki Sunnaten:1:Niyat karna.2:Bismillah padhna.3:Dono haath gattu tak 3 baar dhona.4:Miswak karna.5:Daahine haath se 3 baar kulli karna.6:Daahine haath se 3 baar naak me paani chadhaana aur baaye haath se naak saaf karna.7:Daarhi ka khilaal karna.8:Haath paaon ki unguliyo ka khilaal karna.9: Har azu ko teen teen baar dhona.10:Pure sar ka ek baar masah karna. 11: Kaano ka masah karna.12:Tarteeb se wazu karna.13:Daarhi ke jo baal munh ke daa-ire ke niche hain unka masah karna.14: Aaza ko pay dar pay dhona.15: Har makrooh baat se bachna.
Wazu karne ka tariqa:Wazu karne Ka tarika yeh hai ki pehle Bismillah padhe phir miswak kare, agar miswak na ho to unguli se daant mal-le.phir dono hathon ko gatto tak 3 baar dhooe. Pehle daahene haath par pani dalen phir baaye haath par. Dono ko ek saath na dhooe. Phir dhaaene haath se 3 baar kulli karen phir baaye haath ki chhoti anguli se naak saaf karen aur dhaaene haath se 3 baar naak me paani chadhaaye ,Phir pura chehra dhooe yaani peshani par baal ugne ki jagah se thuddi ke niche tak aur ek kaan ki lau se dusre kaan ki lau tak har hissa par 3 martaba paani bahaae, Uske baad dono haath kehniyon samet 3 baar dhooe, Anguliyan ki taraf se kehniyon ke upar tak pani daalen kehniyon ke taraf se na daalen.Phir ek baar dono haathon se pure sar ka masah karen phir kaano ka aur gardan ka ek bar masah karen,Phir dono paaon takhno samet 3 baar dhooe. (Bahare Shariat)
Wazu Ke Makroohaat:(1) Aurat ke gusal ya wazu ke bache hue paani se wazu karna.(2)Wazu ke liye napaak jagah par baithna. (3)Napaak jagah par wazu ka paani giraana.(4)Masjid ke andar wazu karna.(5)Wazu ke aaza se bartan me paani ke qatre tapakna.(6)Qibla ki taraf thook ya khakhaar daalna ya kulli karna.(7) Be-zarurat dunya ki baat karna.(8)Zarurat se ziyadah paani kharch karna.(9) Paani itna kam kharch karna ki sunnat ada na ho.(10) Munh par paani maarna.(11)Sirf ek haath se munh dhoona.(12) Gale ka masah karna (13) Baaye haath se kulli karna ya naak me paani daalna (14) Daahine haath se naak saaf karna.(15) 3 naye paaniyo se 3 baar sar ka masah karna.(16) Dhoop ke garam paani se wazu karna.(17) Kisi sunnat ko chhor dena.
Jin chizo se wazu toot jaata hai,Woh ye hain:(1) Pakhaana aur peshaab karne se.(2) Pakhaana ya peshaab ke raaste se kida ya kisi aur chiz ke nikalne se.(3) Pakhaana ke raaste se hawa ke nikalne se.(4) Badan me kisi bhi jagah se khoon ya peep ke nikal kar bah jaane se.(5)Munh bhar qay ke aane se.(6) Is tarah so jaane se ki jism ke jor dhele par jaaye.(7) Behosh ho jaane se.(8) Kisi bhi chiz ke itna nasha ho jaane se ki chalne me paaon lad'khada jaaye.(9)Ruku aur sajde wali namaaz me itni zor se hansne se ki pass ke log sun le.(10) Dukhti Aankh se aansu ke bahne se.
Allah ta'ala ne irshad farmaya ki agar tum na'paak ho jaao to khoob khoob paaki haasil karo.[Surah Maa'idah,Aayat No.6]
Gusal karna kab farz ho jaata hai? Niche di gayi baaton me se jab koi baat paayi jaati hai to gusal karna farz ho jaata hai.
(1)Mani ka shahwat ke saath nikal kar baahar aa-jaane se.(2) Ehtilaam (Night faal) hone se.(3) Zakar ke sire ka aurat ke aage ya pichhe ya mard ke pichhe daakhil hone se dono par gusal farz ho jaata hai.(4) Haiz ke khatam ho jaane se. (5) Nafaas ke khatam ho jaane se.
Gusal ke fara'iz:Gusal me 3 baaten farz hain.(1) Kulli karna.(2)Naak me paani daalna.(3) Pure badan par sar se paaon tak paani bahaana.
Gusl karne ka tariqah:Gusl karne ka tariqa ye hai ke pehle gusl ki niyat karke dono haath gatthon tak 3 bar dhooe phir istinja ki jagah ko dhooe uske baad badan par agar kahin najasate haqiqyah yani peshab ya pakhana waghaira laga ho to use door kare phir namaz jaisa wazu kare magar paon na dhooe.Haan agar aisi jagah nahaaye jahaan par paani nahi jamta ho to paon bhi dho daale, Uske baad badan par tel ki tarah paani chapere phir 3 baar daahine kandhe par paani bahaae phir 3 baar baayen kandhe par. Phir sar par aur aur tamam badan par 3 baar pani bahaae, tamam badan par haath phere aur male phir nahane ke baad fauran kapde pahan le.(Aalamgiri)
Gusal ki Sunnaten:(1) Gusal ki niyat karna.(2) Dono haatho ko gatto tak 3 baar dhona.(3) Istinja ki jagah dhona.(4) Badan par jahaan kahin napaaki lagi ho use door karna.(5)Namaz jaisa wazu karna.(6) Badan par tel ki tarah paani chaperna.(7) Daahine kandhe par phir baaye kandhe par,sar par aur tamam badan par 3 baar paani bahaana.(8) Tamam badan par haath pherna aur malna.(9) Nahaane me qibla rukh na hona,Haan agar kapda pahan kar naha raha ho to koi harj nahi.(10) Aisi jagah nahaana ki koi na dekhe.(11) Nahaate waqt kisi qism ki baat na karna,Koi dua na padhna.(12) Aurato ka baith kar nahaana.(13) Nahaane ke baad fauran kapda pahan lena.
Mas’ala:Juma,Eid,Baqra-Eid,Arfa ke din aur Ehraam baandhte waqt nahaana sunnat hai.
Share.........
Namaz ka Mukammal Tariqa Namaz ke Masaail Haiz aur Nafaas ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail