Aap sallallaho alaihe wasallam har kisi ke saath adl o insaaf farmate the chahe woh dost ho ya dushman apna ho ya paraya. Ek baar aap sallallaho alaihe wasallam ke qabila banu haashim ki ek aurat ne chori kar lee to bade bade logon ne uski saza maaf karne ki shifarish ki aur kaha ki ye aurat hamare qabile ki hai agar is ka haath cut jaayega to is se hamare qabile ki pure Arab me badi be-izzati aur bad-naami hogi us waqt huzur gusse me aa gaye aur irshaad farmaya ke agar meri sabse chahityi beti Fatima bhi chori karegi toh main uska bhi haathkaat dunga. (Sahi bukhari,Hadith No.6788)
Note: Aaj jab koi mamla ho jata hai toh aam taur se log apne rishtedaar dost aur jaan pehchaan ke logon ki taraf'daari karte hain aur uski himayat(favour) me bolte hain agarche woh galti par hota hai ye huzur ka tariqa nahi hai. Ek muslaman ko chahiye ke woh har haal me adl-o-insaaf kare aur sirf haq ka saath de kyunke huzur ka yahi tariqa hai aur isi ko apnane me hamari nijaat hai.
Share.........
Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq