Aap ﷺ Ki Sakhawat



Hazrat-e- jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki : kabhi aisa nahi hua ki Aap sallallaho alaihe wasallam se kisi ne koi chiz manga ho aur aap ne "nahi" farmaya ho.(Sahi Muslim, hadith No. 2311)
Waah kiya jood-o-karam hai shahe batha tera
Nahi ! Sunta hi nahi mangne wala tera .
Ek martaba Huzur ﷺ ke paas 90 hazaar chandi ke sikke aaye.To Aap ﷺ ne farmaya ki in sab ko chataayi par rakh do.Phir use baant ne ke liye Huzur khud khade hue,Jo shakhs bhi aaya use aap ne ata farmaya yahan tak ki woh saare sikke khatam ho gaye.Us ke baad ek maangne wala aaya.To Aap ﷺ ne farmaya ki:Mere paas to ab koi chiz nahi hai.Tum aisa karo ki falan dukandaar ke paas jaa kar apni zarurat ki chizen le lo.dukan-daar ko main qimat ada kar dunga.Is par Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne kaha ki Ya Rasoolallah ﷺ! Allah Ta’ala ne aap par ye zaruri nahi kiya hai ki aap ke paas nahi ho tab bhi aap de.Aap ﷺ ko ye baat pasand nahi aayi jis ka asar aap ke chehre se bhi zaahir hua.Ek Ansaari sahabi wahan haazir the unhone arz kiya:Aye Allah ke pyare Rasool!Aap kharch karte rahye Aap ka Rab jo saari dunya ka malik hai,Aap ko dene me kabhi kami nahi farmaaega.Huzur ye baat sun kar muskurane lage aur aap ne farmaya ki haan mujhe isi ka hukm diya gaya hai ki main logo ko nawaazta rahun.
Hazrat-e-Moauwwiz bin Afra bayan karte hain ki main ek bartan me taaza khajur bhar kar huzur ke paas le gaya to Aap ﷺ ne mujhe mutthi bhar kar sona aur chandi ata farmaya.
Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ kal ke liye kuchh bhi bacha kar nahi rakhte the.(Talkhis:Ziyaun Nabi,Vol:5,Page No.322)

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran