Aap ﷺ ke Mo'jaze



Aap sallallaho alaihe wasallam ka sab se bada mo'jaza Quran sharif hai.is ke elawah bahut saare mo'jazaat hain un me se kuchh ye hain.
(1)Aap sallallaho alaihe wasallam ke jism-e-aqdas pe kabhi machchhar aur makhi nahi baith'ti thi.( 2) Aap sallallaho alaihe wasallam jaise apne aage ki chizon ko dekhte the waise hi apne pichhe ki chizon ko bhi dekhte the.( 3)Aap sallallaho alaihe wasallam ke pasine se khushbu aati thi.( 4)Aap sallallaho alaihe wasallam agar khaare paani(salt water) me apna luaab-e-dehan(spit) daal dete the to woh mitha ho jaata tha.( 5)Aap sallallaho alaihe wasallam janwaron aur pat'tharon ki awaaz ko bhi sunte aur samajh te the (6) Aap sallallaho alaihe wasallam jis bachche ke sar par haath daal dete the who din bhar khushbu se mahakta rahta tha (7) Aap sallallaho alaihe wasallam door-o-nazdik ki awaazon ko sunte the aur laakhon kosoon door ki chizon ko bhi dekh lete the.(8)Aap sallallaho alaihe wasallam ne apni ungali ke ishare se chaand ko do tukde kar diya.(9) Aap sallallaho alaihe wasallam ne dube hue suraj ko lauta kar asar ke waqt par kar diya.(10) Aap sallallaho alaihe wasallam ne kam khaane me bahut ziyadah logo ko khilaaya.(11) Aap sallallaho alaihe wasallam ne lakdi ko lohe ka talwar bana diya.(12) Aap sallallaho alaihe wasallam Raat ke thode se waqt me saato aasman ke upar gaye aur phir chale aaye.

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran