Huzur ﷺ ne bahut saare mauqe par apne sahaba ke saamne taqrir farmaya jo hadis aur Seerat ki kitaabo me maujood hain.Yahan par Aap ﷺ ki sirf ek taqrir ka tarjama pesh kiya jaa raha hai jo Aap ﷺ ne hijrat ke baad Madina sharif me sab se pahle juma me kiya tha.
“ Tamaam taarifen Allah ke liye hain.Main uski taarif karta hun aur usi se madad,Bakhshish aur rahnumaai chaahta hun.Mera imaan usi par hai.Main uski naafarmani nahi karta hun aur naafarmani karne walo se door rahta hun.Main gawahi deta hon ki Allah ke elawah koi ibaadat ke laaiq nahi hai.Woh ek hi hai us ka koi sharik nahi hai. Muhammad us ke bande aur Rasool hain.Jin ko usne Hidayat,Noor aur Nasihat de kar us waqt bheja jab ki bahut zamaane se nabiyo ke aane ka silsila band tha,Ilm ghat gaya tha aur log gumraah ho gaye the. Bahut zamaana guzar gaya tha,Qayamat qarib thi aur maut sar par mandla rahi thi.To jis ne Allah aur us ke Rasool ki farmabardari kiya woh kaamyab hua aur jis ne un dono ki naafarmani kiya woh gumrah hua,darje se gira aur door ki gumrahi me mubtala hua.
Main tum logo ko Allah se darne ki taakid karta hon.Aur behtarin taakid woh hai jo ek musalman dusre musalman ko aakhirat ke baare me kare aur use aakhirat ke liye tayyar kare.Aur Allah se darne ka hukm de.Aye logo!Allah se darte raho jaise ki khud usne tumhe apni zaat se darte rahne ki hidayat farmaya hai.Nahi is se badh kar koi nasihat hai aur nahi is se afzal koi zikr hai.Jaan lo!Aakhirat ki jin jin bhalaaiyo ki tum ummid rakhte ho woh sab tumhe unhi nek kaamo ki wajah se milengi jo tum Allah ke dar aur taqwa se karoge. Aur jo shakhs sirf Allah ki riza ko paane ke liye apne un tamaam kaamo aur iraado ki islaah kar le jo us ke aur khuda ke darmiyan hai.Chaahe woh poshida chizen hon ya zaaheri.To Allah Ta’ala use dunya me nek naam kardega aur aakhirat me bhi use nekiyo ka khazaana ata farmaaega.aur yahi woh waqt hoga jab insaan apni nekiyo ka sab se ziyadah muhtaaj hoga.Aur nek kaamo ke elawah dusre kaamo se use us din itni nafrat hogi ki kahega:Aye kaash!Mere aur in bekaar kaamo ke darmiyan aisi ho doori hoti jaisi doori purab aur pachhim me hai.
Aye logo!Allah Ta’ala tumhe khud apni zaat se dara raha hai.Allah Ta’ala apne bando par bada meharban hai.Jis ne uski baato ko sach jaana aur us ka wada pura kiya us ke liye uske khilaaf nahi kiya jaaega.Kyunki Allah Ta’ala ka farman hai ki:Mere yahan baaten nahi badalti hain aur nahi main apne bando par zulm karne wala hon.
To Allah Ta’ala se daro dunya ke maamle me bhi aur aakhirat ke maamle me bhi.Akele me bhi aur logo ke bich me bhi.Kyunki jo Allah Ta’ala se darega Allah Ta’ala us ke gunah ko maaf farma dega aur us ke sawaab ko badha dega.Jo Allah se dara usne badi kaamyabi haasil kar li.Beshak Allah ka dar,Uske azaab aur uski naraazgi ko door kar deta hai.Aur Allah ka dar chehre ko raushan kar deta hai,Rab ko raazi kar deta hai aur darjaat ko buland kar deta hai.Logo!Apna hissa le lo.Allah ki qurbat haasil karne me kami nahi karo.Us ne apni kitaab me tumhe sikha diya.Tumhare liye hidayat ka raasta khol diya taaki woh dekh le ki sachcha kaun hai aur jhoota kaun hai.
Aye logo!Jis tarah Allah Ta’ala ne tumhare saath ehsaan kiya tum bhi dusro ke saath ehsaan ka rawayya ekhtiyar karo.Allah ke dushmano se dushmani rakho.Allah ke raaste me jehaad karo jaisa ki jihaad karne ka haq hai.Usi ne tumhe buzrug banaya hai aur usi ne tumhara naam musalman rakha hai.Taaki har halaak hone wala dalilo ke dekh lene ke baad halaak ho aur har zinda rahne wala bhi dalilo ke saath zinda rahe.Taaqat aur quwat sirf Allah hi ke liye hai.Allah ka zikr kasrat se karo aur maut ke baad jo kaam aae woh kaam kar lo.Jo Allah Ta’ala ke apne darmiyan ke ta’alluqaat ko behtar bana lega Allah Ta’ala uske aur logo ke darmiyan ke ta’alluqaat ko behtar bana dega.Kyunki Allah Ta’ala ki logo par chalti hai logo ki Allah Ta’ala par nahi.Woh tamaam makhluq par hakim aur sab ka maalik hai.Allah Ta’ala sab se bada hai aur tamaam taaqaten aur quwwaten usi khuda e buzrug aur bartar ke liye hain.”
Subhanallah! Is taqrir par amal kar ke har musalman apni dunya aur aakhirat ko kaamyab bana sakta hai.Allah Ta’ala ham sab ko is par amal karne ki taufiq ata farmaae.
Share.........
Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq