Ambiya-e-Kiraam par Allah Ta’ala ne zakat ko farz hi nahi kiya is liye Aap ﷺ par bhi zakat farz nahi thi.(Zarqaani,Vol:8,Page No.90)
Lekin Aap ﷺ ke sadqa aur khairaat karne ki ye haalat thi ki Aap apne paas sona chandi,Tijaarat ka koi saaman aur jaanwar wagairah ka koi rewar rakhte hi nahi the.Balki jo kuchh bhi aap ke paas aata tha un sab ko aap Allah ke raaste me garibo aur miskino par kharch farma diya karte the.Aap ﷺ ko itna bhi gawaara nahi tha ki raat bhar bhi maal-o-daulat ka thoda sa bhi hissa aap ke ghar me rah jaae.Chunancha Ek baar aisa hua ki huzur ke paas khiraaj ki raqam itni ziyadah aa gayi ki shaam tak baantne ke baad bhi khatam nahi ho saka to Aap ﷺ raat bhar masjid hi me rah gaye.Jab hazrat-e-Bilaal radhi allaho anho ne aa kar bataya ki Ya Rasoolallah ﷺ ! saari raqam baant di gayi.Phir aap ﷺ ne apne ghar me qadam rakha.(Abu Dawood,Hadis No.3055)
Aap ﷺ ne jis tarah apna maal Allah Ta’ala ke raaste me lutaaya aur sadqa khairaat kiya usi tarah apni ummat ko bhi is par ubhaara aur is ko nijaat paane ka zariya bataya.Is baare me Aap ﷺ ki kuchh hadisen pesh hain.
HAdees No:1Hazrat-e-Adi bin Haatim radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Tum me se har shakhs se Qayamat ke din us ka Rab khud baat karega.Aur us ke aur bande ke beech koi bhi tisra nahi hoga.To banda daaheni taraf dekhega to use kuchh nahi dikhaai dega,Phir woh baa'een taraf dekhega to use kuchh nahi dikhaai dega.Phir woh apne chehre ke saamne dekhega to use jahannam dekhaai dega.Phir Huzur ﷺ ne farmaya ki jo is baat ki taaqat rakhta ho ki apne chehre ko jahannam ki aag se bachaa'e agarche khajur ka ek tukda hi sadqa kar ke kyun na ho to woh zarur sadqa kare.(Tirmizi,Hadis No.2415)Aur dusri riwayat me hai ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya:Agar kisi ke pass khujur ka tukda bhi nahi ho to achhchhi baat hi kahe(Kyunki ye bhi sadqa hai.)(Sahi Bukhari,Hadith No.6023)
HAdees No:2Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Beshak sadqa Allah ki naa'raazgi ko khatam kar deta hai aur buri maut se bachaata hai.(Tirmizi,Hadis No.663)
HAdees No:3Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur nabi kareem ﷺ ne irshad farmaya ki:Qayamat ke din 7 tarah ke logo ko Allah Ta’ala saaya nasib ata farmayega aur us din us ke saae ke elawah aur koi saaya nahi hoga.(Aur suraj bilkul sar ke qarib hoga jis ki wajah se be inteha garmi hogi yahan tak log apne hi pasine me dobte honge.Woh 7 tarah ke log ye hain.)(1) Insaaf karne wala baadshaah.(2)Woh jawaan jis ne apni jawani Allah ki ibaadat karte hue guzaara.(3)Woh log jin ka dil masjid me laga rahta hai. (4)Woh log jo Allah ki mohabbat ki wajah se aapas me milte aur juda hote hain.(5)Woh shakhs jise kisi khoobsurat aur maal-daar aurat ne gunaah karne ki dawat di to us ne kaha:Main Allah se darta hun.(6) Woh shakhs jo chhupa kar sadqa karta hai.(7) Woh shakhs jo akele me Allah ko yaad kare aur rone lage.(Sahi Muslim,hadis No.1031)
HAdees No:4Aap ﷺ ne farmaya ki:Sakhi insaan Allah se,Jannat se aur logo se qarib hota hai aur jahannam se door hota hai.Jab ki bakhil insaan Allah se,Jannat se aur logo door hota hai aur jahannam se qarib hota hai.Aur beshak jaahil sakhi Allah ta’ala ke yahan ziyadah pasandida hai ibaadat karne wale bakhil se.(Tirmizi,Hadis No.1961)
Allah Ta’ala ham sab ko bakhili se bachaae aur apne mahboob ﷺ ke sadqe me apne raaste me dil khol kar kharch karne wala banaae. Ameen.
Share.........
Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq