Aap ﷺ Ki Aman Pasandi



Aap Sallallaho alaihe wasallam apni puri zindagi aman aur insaaniyat ka mahaul banane ke liye logo ke andar se un tamaam buraiyon ko door farmaya jis se kisi bhi tarah aman aur insaaniyat ko nuqsaan pahunchta hai.Jaise jhoot,Dhoka,Ghamand,Wada khilaafi, zulm,ladaai jhagda aur khoon kharaba wagairah.Aur har us chiz ko apne kirdaar aur baato se badhawa diya jis se aman aur insaaniyat ka parchaar hota hai.Jaise Saare logo par raham karna.Kisi ke liye bura nahi sochna,Zaat paat aur rang-o-nasal ki bunyad par koi farq nahi karna, Sab ke saath achhchhe akhlaaq se pesh aana,Apni zaat se dusaron ko faa’ida pahunchana, khaas taur se kamzor aur garib logo ki madad karna aur un ki izzat ki hifaazat karna waghairah.Aur Aap ﷺ apni baargah me usi shakhs ko bada rutba dete the jo logo ko ziyadah faaida pahuchane me aage aage rahte the.
Jaisa ki Hazrat imam Hasan radhi allaho anho bayan karte hain ki "Aap sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me haazir hone wale log makhlooq ke behtareen log hote the aur Aap sallallaho alaihe wasallam ke nazdeek afzal wahi hota tha jiski khair-khwahi aam ho yani jo har shaks ki bhalai chahta ho aur aap ke nazdeek bare rutbe wala wahi shaks hota tha jo logon ki madad me ziyadah hissa leta tha (Shamail-e-tirmizi :314)
Note : Aaj bhi Huzur sallallaho alaihe wasallam ki nazar me afzal aur bade rutbe wala wahi shaks hoga jo har shaks ki bhalai chahta ho.

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran